FAATIHA AUR ISAAL E SAWAAB KA TARIKA

Share:
MAZAAR PAR HAAZIRI KA TARIKA

Buzurgo(n) ki zaahiri zindagi mein bhi qadmo(n) ki taraf se yani chehre ke saamne se haazir hona chahiye, piche se aane ki surat mein unhe mudh kar dekhne ki zehmat hoti hai. Lihaza
Buzurgan e Deen ke mazaraat par bhi pa'eenti (yani qadmo(n)) ki taraf se haazir ho kar phir Qible ko peeth aur Saahib e Mazaar ki taraf rukh kar ke kam az kam chaar (4) haath (yani taqreeban do gaz) door khade ho aur iss tarah ba-adab SALAAM arz karein:

" Assalamu Alaika ya Sayyadi Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu "

Teen martaba Sureh Fatiha, Ek martaba Ayatul Kursi aur saat martaba Sureh Ikhlas (awwal aakhir ek ya teen martaba Durood Shareef) parhein aur haath utha kar Saahib e Mazaar ka naam le  kar Isaal e Sawaab karein aur unke waseele se Du'a karein aur apna jayez matlab pesh karein. Phir Salaam karte hue wapas aayein.

Mazaar ko na haath lagayen na bosa dein. Tawaaf bil ittefaq
na-jayez hai, aur Sajda haraam.
Wali ALLAH ke Mazaar ke paas Du'a jald Qabool hoti hai.
[Maakhuz az ahsanul wia'aa, safa.140]

No comments