How to Pray or Perform Qaza Namaz (Salat) of the lifetime (QAZAA E UMRI )

Share:
Faut shudah (chhuti huwi) namazo ke kaffaare (muafi) ke taur par jo tariqa (qaza umri ka) eijaad kar liya gaya hai ye badtareen bid'at hai, is baare me jo riwayat hai wo mauzu (garhi huwi/fake) hai, ye amal sakht mamnoo hai, aysi niyat aur e'teqaad baatil aur mardood hai, is jahaalate qabeeha (buri jahaalat) ke butlaan (baatil/fake/bogus hone) par musalmaano ka ittefaaq hai.
Huzoor Pur Noor Syedul Mursaleen Sallallaahu Alaihi wa Sallam ka irshad-e giraami hai: "Jis shakhs ki namaz chhoot jaye to jab usey yaad aaye ada kar le, uska kaffaara uski adayegi ke siwa kuchh nahi."

Isey Imaam Ahmad bin Hambal, Imaam Bukhari, Imaam Muslim, Imaam Tirmizi, Imaam Nasayi aur 2sre Muhaddiseen ne Hazrat Anas Radhiyallaahu Anhu se riwayat kiya hai.

📒 Bukhari sharif: 1/84
📒 Muslim sharif: 1/241

Allaama Ali 'Qaari' Mauzoo'aat-e Kabeer mein farmate hain: "Jisne Ramazaan ke akhiri Juma mein ek Farz namaz ada kar li is se uski 70 saal ki namaazon ki muafi ho jati hai" ye yaqini taur par baatil hai kyunke kisi bhi qism ki ibaadat pichhle saalo ki chhuti huwi namazo ka badla nahi ho sakti.....
📒 Al Asraarul Mauroof'ah: Hadees 953

Imaam Nawawi ki kitaab Minhaaj ki sharah Tohfa mein Imaam Ibn-e Hajar Makki phir Imaam Qastulaani ki kitaab Mawaahib ki sharah mein Imaam zurqaani Rahimahumullaah farmate hain:
Is se bhi badtar tariqa woh hai kuchh jagaho par eijaad kar liya gaya hai ke Juma ke ba'd namazein is gumaan se ada kar li jayein ke us se saal bhar ya pichhli tamaam umr ki namaO ka kaffaara hai. Aur ye amal nihaayat waazeh the(zaaher) wujoohaat ki bina par haraam hai.

📒 Sharhe Zurqaani: 7/110

📖 Fataawa Razwiya (jadid): 8/155 & 156



Also Read: Qabr aur Mazaar Ke Adab aur Kya Aurat ka Qabr Jaana Jaiz Hain?


Mohtram MUFTI SAHID BARKATI SAHEB NORTH AMERICA)

👉  QAZAA E UMRI  👈

QAZAA NAMAAZO KI ADAAYGI KA AASAAN TAREEQA

✒Har Musalman Par khwah wo Mard Ho ya Aurat"BAALIG" Hote Hi Namaaz Farz Hai_______

★ Agar koi Shakhs "BAALIG" Hone ke kayi Saal Baad Namaazi Huwaa To Us ke Darmiyaan ki Namaaze jo Qazaa Ho Chuki Hai Uska Adaa karna Farz Hai

MASALA

●●► Abdullah 14 Baras ( Saal ) ki Umar Me "BAALIG" Huwa Aur jab uski Umar 20 Saal ki Huwi To wo Namaazi Huwa To Usko 6 Baras ( Saal )ki Qaza Namaaz Padhni Hogi...

MASALA

✏ jis Mard ko Aapne BAALIG Hone ki Taareekh (Date) Aur saal (Year) Yad Na Ho Wo Aapne BAALIG Hone ki Muddat 12 Baras (Saal) ki Umar karar De______


MAS'AALA


jis Aurat ko Aapne BAALIG hone ki Tareekh Aur Saal Yaad Na Ho wo Aapne BAALIG Hone ki Muddat 9 Baras (Saal) ki Umar karaar De


Aur saath Hi Me Har Maah se "HAIZ" ke Din Aur "NIFAS" ke Din Bhi
kam kar Le kyu ki in Dino Me Namazo ki Qaza Aurato Par Lazim Nahi.

 ●●► Har Aadmi jis ke Zimme Qaza Namaaze Ho Un Par Laazim Hai ki jald se jald Adaa kare Na Malum kis waqt Maut Aa jaye

QAZA NAMAAZE  EK DIN KI 20 RAKAAT HOTI HAI

JAYSE:

●►FAJAR      ► 2-FARZ
●►ZOHAR      ► 4-FARZ
●►ASAR        ► 4-FARZ
●►MAGRIB   ► 3-FARZ
●►ISHA        ►  4-FARZ
●►ISHA        ► 3-WITR

 In Namazo ko siwaye
☀☞Suraj Nikalte Waqt
☀☞Suraj Doobte Waqt
☀☞Zawaal ke waqt

◉in Waqto Me Sajda Haraam Hai ◉

❖in Makrooh Waqto k Alaawa Qaza Namaaz Har Waqt Adaa kar Sakta Hai ❖

●●►Aur Ikhtiyar Hai ki Pahele Fajar ki Sab Namaze Adaa kare
Fir zohar--Fir Asar--Fir Magrib--Fir isha
Ya
●●►Sab Namaaze sath sath Adaa karta jaaye
Aur inka Aysa Hisaab Lagaay ki Baaqi Naa Rah jaaye______
Ziyada Ho jaaye To Harj Nahi

QAZAA NAMAAZO KI NIYYAT

Jab Qaza Namaz ko Adaa ke liye khada Ho us waqt Uski Niyyat karni Zaroori Hai______
____MASALAN____
◉☞FAJAR ki Niyyat Yu kare
●●►'Mene Sab Me Paheli Fajar Padhne ki Niyyat ki jo Mujse QAZA Huyi
Allah Ta'aala ke Liye Muh Mera kaaba Shareef ki Taraf ALLAHU AKBAR'●

◉☞Isi Tarah Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-ki Niyyat kare

✔ JIN LOGO KE ZIMME QAZA NAMAZEN BAHOT ZYAADA HO UNKE
LIYE AASANI SE ADAA KARNE KI -4-SURATE HAI________
TAKI WO ASANI KE SAATH QAZA NAMAZEN ADAA KAR SAKE
👇  👇  👇  👇

1:- AWWAL

FARZ ki Teesri Aur chawthi Raka'aat Me

"AL HAMDU" ki jagah sirf 3 Baar "SUBHAAN ALLAH" keh kar Ruku Me chale jaye
●●►Ye Kami sirf Farz ki Teesri Aur chawthi Raka'aat ke Liye Hai____
●●►WITR ki Teeno Raka'aato Me "AL HAMDU" Aur "SURAT" Dono zaroor Padhi jaye

2:-DOWAM

RUKU Aur SAJDE ki TASBEEH Me Sirf EK EK Baar

"SUBHAN RABBIYAL AZIM"
Aur
"SUBHAN RABBIYAL AA'AALA"
kahe

3:-SOWAM

Namaze Fajar Me "ATTAHIYYAT"
◉☞Aur Yuhi Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-Me Doosri "ATTAHIYYAT" ke Baad "DAROOD SHAREEF" Aur
"DUWA E MASURA" ki jagah sirf Ye "Darood shareef" padhe
☞''ALLA HUMMA SALLE ALA MUHAMMADIW-WA AALIHI''
Padh kar SALAM Fer de

4:-CHAHARUM

Namaze WITR ki Tisri Raka'aat Me "DUWA E QUNUT" ki jagah 3 Baar Ya Ek Baar

◉☞''RABBIGFIRLI'' kahe

(FATAWA RIZWIYYA--JILD-3-SAFA--621-622



How to Perform Qaza Namaz (Salat)

It is compulsory to perform all Qada Salaah as quickly as possible. One cannot say when death will come. There is no difficulty in performing 20 Rakaats daily (2 Fajr, 4 Zohr, 4 Asr, 3 Maghrib, and 7 for Esha, i.e. 4  Fard and 3 Witr.)

One can perform this Salaah anytime of the day after sunrise, sunset and Zawaal.  One has the option to read all the Fajr Qada first, then Zohr, Asr, and Maghrib and Esha, or each one for a day. A maximum estimate record of all the Qada must be made and performed accordingly. It is better to read more than the estimated Rakaats, but not less.

If one daily reads in this manner then all Qada  will eventually be completed. So, do not delay or be lazy to complete them. No Nafil Salaah is accepted if one has Qada of any Fard Salaah.

Niyyah for Qada Salaah can be performed in the following manner. Say you have 100 Fajr Qada. Every time you perform one Qada, say, “I intend to perform my first Fajr Qada.” In this way you will perform them all.

The same method may be used to complete all Qada Salaah. If one has a lot of Qada to complete, then one must perform them quickly. One may recite Subhaan-Allah (سبحان الله) 3 times instead of Sura Fateha only in the empty Rakaats (the third and fourth Rakaats in 4 Rakaat Fard (i.e.Zohr, Asr and Esha) or the third Rakaat in 3 Rakaat Salaah (Maghrib).

There is no harm if one reads one Tasbeeh instead of three in the Ruku and Sojood. The Fard will be completed. One may read this Darood Shareef (Salawaat) اللهم صل على سيّدنا محمد و آله  in Tashahud instead of the complete Darood-e-Ibraheem. In Witr, read رب  اغفري once instead of the complete Du’a-e-Qonoot. 

4 comments:

  1. Enjoy ur Life by Obeying ALLAH's ORDERS & FOLLOWING The METHODS OF MUHAMMAD {PBUH}
    Naat Sharif MP3

    ReplyDelete
  2. Can we pray Qada namaz after Fajr and Asar?

    ReplyDelete
    Replies
    1. During the sun is rising or setting and at exactly midday, at these three times no Namaz is allowed. No Farz, no Wajib, no Nafl, no Ada (current), no Qaza (expired), no Sijdah-e-Tilawat, No Sijdah-e-Sahoo. However, if the Asr Namaz for that day is still left to pray then you must pray whether the sun is setting, but to delay it for so long is Haram.

      Delete