NAAT - WAAH KYA MARTABA

Share:
This beautiful Manqabat is written by AlaHazrat Imam Ahmed Raza Khan (`alayhi raHmah) in honour of Sayyid ul Awliyah, Shaykh `Abdul Qadir al-Jilani al-Hassani wal-Hussayni (raDiAllahu `anh)

Listen to the soulful voice of  Alhaaj Owais Raza Qadri.


Lyrics for WAAH KYA MARTABA

Waah kya Martaba Aye Gaus hai Baala Tera
Oonche Oonchoñ ke Saroñ se Qadam Aala Tera

Sar Bhala kya koi Jaane ke hai kaisa Tera
Auliya malte haiñ Aankheiñ wo hai Talwa Tera

Kya dabe jis pe Himaayat ka ho panja Tera
Sher ko Khatre meiñ laata nahi Kutta Tera

Qasmeiñ de de ke Khilaata hai Pilaata hai Tujhe
Pyara Allah Tera Chaahne wala Tera

Mustafa ke Taney Be Saaye ka Saaya Dekha
Jis ne dekha meri jaañ Jalwa e Zeba Tera

Ibne Zahra ko mubarak ho uroos e Qudrat
Qadri paayeiñ tasadduq mere Doolha Tera

Kyun na Qasim ho ke Tu Ibne Abil Qasim hai
Kyun na Qadir ho ke Mukhtaar hai Baba Tera

Nabavi zil Alavi burj Batooli manzil
Hasani chaand Husaini hai ujala Tera

Husn e Niyyat ho khata phir kabhi karta hi nahi
Aazmaya hai yagana hai Dogana Tera

Jaan to Jaate hi Jaayegi Qayamat ye hai
Ke yahaañ Marne pe thehra hai Nazaara Tera

Tujh se Dar, Dar se Sag, Aur Sag se hai Mujh ko Nisbat
Meri Gardan meiñ bhi hai door ka Dora Tera

Is Nishaani ke jo Sag haiñ nahiñ Maare Jaate
Hashr tak mere gale meiñ rahe Patta Tera

Meri Qismat ki Qasam Khaayeiñ Sagaan-e-Baghdaad
Hind meiñ bhi hooñ to deta rahooñ Pehra Tera

Bad sahi Chor sahi Mujrim o Naakaara sahi
Aye wo kaisa hi sahi hai to Kareema Tera

Mujh ko Ruswa bhi agar koi kahega to Yuñhi
Ke wahi na woh RAZA Banda e Ruswa Tera

Haiñ RAZA yuñ na bilak tu nahiñ Jayyid to na ho
Sayyide Jayyide har dahar hai Maula Tera

Fakhr e Aaqa meiñ RAZA aur bhi ek Nazm e Rafee
Chal Likha laayeiñ Sana Khwaanoñ meiñ Chehra Tera

2 comments: