How to Pray Tahajjud Ki Namaz - Salat E Tahajjud Ka Waqt

Share:
How to Pray Tahajjud Ki Namaz - Salat E Tahajjud Ka Waqt


How to Pray Tahajjud Ki Namaz - Salat E Tahajjud Tarika, Dua, Waqt

What is Tahajjud Namaz/Prayers?

Voluntary Prayers offered after the Night (Isha) Prayers are called “Salaat ul-Layl” (The Night-time Prayers). Voluntary Prayers offered during the night are better than those offered during the day. The Tahajjud Prayer is a kind of Salaat ul-Layl. The Tahajjud consists of a minimum of 2 and a maximum of 8 Cycles. When a person sleeps after offering Isha and gets up at any time during the night, it is the time for Tahajjud - and the best time for this is the final third part of the night.

Tahajjud Namaz/Prayers Question Answers

Question1: Tahajjud ki namaj ke bare me batana ke kitne rakat ki hoti hai aur kya padte hai or kaunsa waqt may panda chaiyee (How to Perform Tahajjud Namaz and When to Perform Tahajjud Salat)

Answer:


1. Isha ki Namaaz ke ba'd se lekar Fajr ka waqt shuru hone se pahle tak kisi bhi waqt sokar uthne aur Nafl Namaaz parhne ko Tahajjud kehte hain.

📖 Faraawa Razwiya: 7/446

2. Tahajjud kam se kam 2 Rak'at hai, aur 8 Rak'at tak bhi Hadis se saabit hai.

📗 Bahaar-e Shari'at: Hissa 4, Namaaz-e Tahajjud, Mas-ala 3 & Hadis 3

3. Tahajjud ki Namaaz ka tariqa bhi waisa hi hai jaise aur Namaazo ka, jaise chahein parhein.


4. Jis shakhs ki 5 Namaazo ki qaza baaqi ho to unko ada kiye baghair koi bhi Nafl Namaaz na parhein, balke ziyada se ziyada waqt nikaalakar apni qaza Namaazein puri karein, yahaan tak ke 5 waqt ki Namaazo ke saath jo ghair muakkadah sunnatein aur naflein hain unki jagah par qaza parhein.


📖 Fataawa Razwiya: 10/179 & 180

📗 Bahaar-e Shari'at: 4/55 @ Raddul Mohtaar: 1/646
📖 Fataawa Razwiya: 8/158

🌷 Isha ke Farz parhkar baithe baithe so gaya, to uthkar Tahajjud parh sakta hai, balke agar girne se pahle ankh khul gayi to usi Wuzu se bhi Tahajjud parh sakta hai.



📝 Haafiz, Qaari, Maulana, Mufti Muhammad Shahid Barkaati.

Question2: Kya hum badi raaton mein jaise aksar jagte hai Tahajjud ki Namaz pad sakte hai ya sona jaruri hota hai aur sahi tariqa bhi bataye?

Answer: Tahajjud ho ya koi aur Nafl Namaaz unke liye hain, jo zindagi ki Farz aur Waajib ibaadatein na chhodein, jinki Farz ibaadatein (Rozana 17 Rak'at Farz aur 3 Witr) ek din ke bhi baaqi hon ya ek waqt ki bhi Farz Namaaz baaqi ho unko har mauqe par inki hi qaza parhni chahiye, warna Tahajjud ya Nafl chaahe hazaaro parhe, qabool na honge, aur Farz Namaazo ka bojh sir pe rahega.

Tahajjud keliye sona zaruri hai, kyunke sokar uthne ko hi Tahajjud kehte hain, magar letkar sona zaruri nahi, baithe baithe bhi koi 2 minute so liya to kaafi hai, balke Isha ke Farzo ke ba'd agar koi 2 minute kisi bhi tarah so liya Tahajjud keliye kaafi huwa.

📝 Haafiz, Qaari, Maulana, Mufti Muhammad Shahid Barkaati.

No comments