Subhan Allah and Masha Allah Meaning - When to Say Subhan Allah and Masha Allah

Share:
Subhan Allah aur Masha Allah Ka Kya Manaa hai aur Kab kehna chahiye hain? What is the Meaning of Subhan Allah and Masha Allah? When to say Subhan Allah and MashaAllah



When to say Subhan Allah and Meaning of Subhan Allah

Sawal :

Aksar log posting per agar un ko achi lagti hai tu subhan allah kehte hai.

But shariyat main subhan allah kab kehna cahiya is ka clear aur wazeh hukum hai.Is  masle per hamari rehnumayi farmaye.

Jawab  :

Lafz e Sub'Han-Allah se Khalis Allah Ta'ala ki Paaki bayan ki jaati hai ... 

Lehaaza Ise Allah Ta'ala ki paaki bayan karte hue usi niyyat se kaha jaaye .. 

Aaj Kal aam taur par ijlaas wagaira me dekha jaata hai ke Sho'raa ya Muqarrireen Apni baat par ya Shair par  Sub'Han-Allah kehne Ke liye Kehte hain .... agar us se Maqsood Apni wah waahi hai to ye Na jaayez Hai ... Ke Yahan Allah Ki Paaki bayan karna Maqsad Nahi balke Apni Ta'reef Maqsood hai .... 

Is se Bachna Chahiye ...

Haan Kisi ko Koi Baat acchi lag gayi aur us ne Us Baat par Allah ki paaki bayaan karte hue Sub'Han-Allah kaha to durust o jaayez hai ..

(Mufti) Maqsood Akhtar Qadri

Khadim al-Ifta Ridawi Amjadi Dar al-Ifta

No comments