Shuru se hai bas is ummat ka nara | Naat Sharif Lyrics

Share:
Shuru Se Hai Bas Is Ummat Ka Naara | Naat Sharif Lyrics

Naat Version 1

Shuru se hai bas is ummat ka nara Yaa Rasool Allah
Badi tehkik se hum ne pukara Yaa Rasool Allah

Sahih Muslim me likha hai Sahaba ne lagaya tha
Madine ki gali kuncho me naara Yaa Rasool Allah

Suna hai Aap har ashiq kay ghar tashreef latay hain
Meray ghar mein bhi ho jaye charaghan, Yaa Rasool Allah

Ali farmate hai jab ham Nabi ke sath chalte the
Pahadon pakarone bhi pukara Yaa Rasool Allah


Abhi tho hum lagathe hain Ye nara Yaa Rasool Allah





Naat Version 2

Shuru Se Hai Bas Is Ummat Ka Nara Yaa Rasool Allah
Badi Tehkik Se Hum Ne Pukara Yaa Rasool Allah

Yamama Jung Me Kuffar Bhi Takbeer Padhte The
Farak Tha Momin Me Aur Kaafir Me Nara Yaa Rasool Allah

Sahih Muslim Me Likha Hai Sahaba Ne Lagaya Tha
Madine Ke Galli Koocho Me Nara Yaa Rasool Allah

Ali Farmate Hai Jab Hum Nabi Ke Saath Chalte The
Pahado Pattharo Ne Bhi Pukara Yaa Rasool Allah

Kuch Aisa Hai Jo Hum Se Kehte Hai Yeh Shirk O Bida’at Hai
Unhi Ke Peero Murshid Ne Pukara Yaa Rasool Allah

Shafa’at Lazmi Hogi Usiki Dekh Lena Tum
Baroaz E Hashr Bhi Jsine Pukara Yaa Rasool Allah

Imam E Aazam Ho Ya Ho Imam E Zainulabidin
Padho Inke Akayd Dekho Nara Yaa Rasool Allah

Kasam Rab Ki Mereaaqa Sama’at Kar Rahe Hoge
Zara Milkar Lagao Tum Bhi Nara Yaa Rasool Allah

Nahi Hai Kaam Busdil Ka Nidar Hai Jo Bhi Kehta Hai

Mere Mumtaz Ghazi Ka Bhi Nara Yaa Rasool Allah

No comments