Qurbaani Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hai? (When can we perform Qurbani?) - QURBANI Q&A

Share:
Question: Qurbaani Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hai? (When can we perform Qurbani?)

Answer:

Qurbaani Ka  Waqt 10th Zilhijja Ki Subah Saadiq Se 12th Ke Gurub Aaftaab Tak Hai Yani Teen Din Aur Do Raate, Lekin Daswi ko qurbani kerna Sabse Afzal Hai Fir Girahwi Fir Barahwi

Shahar Me Qurbbani Ki Jaye To Shart Ye Hai Ke Eid Ki Namaaz Ke Baad Ho Aur Dehaat Me Chunke Namaaz Eid Nahi Is Liye Subah Saadiq Se Ho Sakti Hai

Qurbaani Ke Waqt Qurbaani Hi Karni Laazim Hai Itni Qeemat Ya Itni Qeemat Ka Janwar Karne Se Wajib Ada Na Hoga

Qurbaani Ke Din Guzar Jane Ke Baad Qurbaani Fout Ho Gai Ab Nahi Ho Sakti Lihaza Agar Koi Janwar Qurbaani Ke Liye Kharid Rakha Hai To Usko Sadqa Kare Warna Ek Bakri Ki Qeemat Sadqa Kare

Jab Qurbaani Ki Sharte Payi Jaye (Jin Ka Upar Bayaan Huwa) To Ek Bakri Ya Bhaid Ka Zibah Karna Ya Gaaye Bhains Ka Saatwa Hissa Wajib Hai Is Se Kam Nahi Ho Sakta Yaha Tak Ke Agar Kisi Shareek Ka Hissa Saatwe Se Kam Hai To Kisi Ki Qurbaani Sahi Na Hogi Haa Saat Se Kam Shareek Ho Aur Hisse Bhi Kamo Beish Ho Lekin Kisi Ka Hissa Saatwe Se Kam Na Ho To Jayez Hai

Qurbaani Ke Sab Shareeko Ki Niyyat Taqarrub (Yaani Sawaab Pana) Hona Chahiye Khali Gosht Haasil Karna Na Ho Lihaza Aqeeqa Karne Wala Shareek Ho Sakta Hai (Ke Aqeeqa Bhi Taqarrub Ki Ek Surat Hai)

MUFTI IMRAN UL QADRI SAHEB

No comments