Safar ul Muzaffar ki Fazilat aur Haqeeqat

Share:
Safar Ul Muzaffar ki Fazilat aur Haqeeqat


Safar Ul Muzaffar ki Fazilat aur Haqeeqat

Sadrush Sharia Hazrat Allama Maulana Mufti Mohammad Amjad Ali Aazmi Rehmatullah Alaih Bahar e Shariat, Jild. 3 ke Aadab Safar ke bayaan mein farmate hain:

Maah e Safar ko log manhoos jaante hain, ismein shaadi biyaah nahi karte, ladkiyon ko rukhsat nahi karte. Aur bhi iss qism ke kaam karne se parhez karte hain. Safar karne se  gurez karte hain. Khoosusan Maah e Safar ki ibtedayi tera (13) taareekh bohat zyada nehas maani jaati hai aur unko tera teeji kehte hain. Yeh sab jahaalat ki baatein hain.

Hadees mein farmaya ke

"Safar koi cheez nahi"

Yaani logon ka ise manhoos samajhna galat hai. Isi tarah zill-qad ke mahine ko bhi bohat log bura jaante hain aur usko khaali ka mahina bhi kehte hain, yeh bhi ghalat hai. Har maah (month) ke 3, 13, 23 aur 8, 18, 28 ko manhoos jaante hain, yeh bhi laghobaat hai.

Maah e Safar ka aakhri chaar-shumba (wednesday) hindustan mein bohat manaya jaata hai. Log apne kaarobaar band kar dete hain. Ser o tafreeh wa sheekar ko jaate hain. Pooriyan pakti hain. Nahaate dote hain. Khooshiyan manate hain aur kehte yeh hai ke HUZOOR E AQDAS Sallallahu Alaihi Wasallam iss roz ghusl sehet farmaya tha aur bairoon Madina Taiba ser ke liye tashreef le gaye the. Yeh sab baatein be-asl hain. Balke in dini mein HUZOOR E AKRAM Sallallahu Alaihi Wasallam ka marz shiddat ke saath tha. Woh baatein khilaaf waqai hain. Aur baaz log yeh kehte hain ke iss roz balayen aati hai aur tarah tarah ki baatein bayaan ki jaati hai. Sab be-saboot hai. Balke Hadees ka yeh irshaad "la-seefar" yaani seefar koi chiz nahi. Aisi tamaam khuraafaat ko radd karta hai.

[Sahi ul Bukhari, Kitaab ul tab, Baab-Lahama, Hadees. 5757]

[Bahar e Shariat, Jild. 3, Hissa. 16, Safa. 659-660]

Also Read Safar ul Muzaffar Namaz, Mah E Safar Dua   

No comments