Shaadi ki Pehli Raat Ki Dua, Aadab aur Nafil Namaz

Share:
Shaadi (Marriage) ki pahli raath ke aadaab
(Shaadi ki Dua - Dua for Bridegroom - Wedding Night Dua - Marriage Dua)

Jab dulha dulhan ke kamre me jaye to sabse pahle salaam kare aur tanhai ho to bahtar ye hai ki sabse pahle dulha aur dulhan wuzoo karle aur fir 2 rakat nafl namaz shukrana padhe.

Namaz ki Niyyat : Niyyat ki maine 2 rakat namaz nafl shukrane ki waste ALLAH ta'ala ke Mooh mera kaaba shareef ke taraf Allahu Akbar.

Fir hamesha jaise namaz padhte ho waise hi namaz padhe aur is tarah duwa kareaye 
Allahumma inni as aluka min khaireh wa khairem jabalth alayhi wa auzoo beka min sharreh wa sharrem jabalth alayhi.
Tarjuma: Aye ALLAH mai tujhse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki buraise.(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)

ALLAH tera shukra aur ehsaan hai ki tune hame ye din dikhaya aur hame is khushi wa ne'amat se nawaza aur hame apne HABIB sallallaho alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. 

Aye ALLAH hamari is khushi ko hamesha isi tarah kayam rakh. hame mel-milap pyaar mohabbat ke saath zindagi guzarne ki taufiqata farma.ae Rabbe Qadir hame nek farmabardar aulad ata farma. AAMEEN

(Gunyatuttalebin : jild-5,page-115)

Also Read: Shaadi Mein Rukawat Dur Karne Ki Dua (Wazifa)

IN HINDI

शादी की पहली रात के आदाब

जब दूल्हा दुल्हन के कमरे में जाये तो सबसे पहले सलाम करे और तन्हाई हो  तो बेहतर ये हैं की सबसे पहले दूल्हा और दुल्हन वुज़ू करले और फिर 2 रकत नफ़्ल नमाज़ शुक्राना पढ़े।

नमाज़ की नियत : निय्यत की मैंने २ रकत नमाज़ नफिल शुकराना, वास्ते अल्लाह ताला के, मुँह मेरा तरफ काबा शरीफ के - अल्लाह हु अकबर कहते हुए नमाज़ शुरू करें।

फिर हमेशा जैसे नमाज़ पढ़ते हो वैसे ही नमाज़ पढ़े और इस तरह दुआ करे ।

अल्लाहुम्मा इन्नी अस अलुका मीन खैरह व खैरम जबालत अलैहि व ओज़ू बेका मीन शाररेह व शर्र्म जबालत अलैहि  

तर्जुमा : ए अल्लाह मैं तुझसे इसकी (अपनी बीवी की) भलाई और खैरो बरकत मांगता हूँ और उसकी फ़ितरी आदतों की भलाई और तेरी  पनाह चाहता हूँ इसकी बुराई और फ़ितरी आदतों की बुराई से । (Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)

और ऐसे दुआ करें 

अल्लाह  तेरा शुक्र और एहसान है की तूने हमें ये दिन दिखाया और हमें इस ख़ुशी व नेमत से नवाज़ा और हमें अपने हबीब सल्लल्लाहो अलैहि  वसल्लम की सुन्नत पर अमल करने की तौफ़ीक़ अता फर्माय ।

ए अल्लाह हमारी इस ख़ुशी को हमेशा इसी तरह कायम रख । हमें मेल मिलाप प्यार मोहब्बत के साथ ज़िन्दगी गुजरने की तौफ़ीक़ अता फार्मा। ऐ रब्बे क़ादिर हमें नेक फर्माबरदार औलाद अता फार्मा । आमीन  


(Gunyatuttalebin : jild-5,page-115)



Marriage First night DUA (Shaadi ki Pehli Raat Ki dua)

Hazrat Abdullah ibne Masud radiallahu ta'ala anhu farmate hai : Ek shaks ne bayaan kiya ki maine ek jawan ladki se nikah kar liya hai aur mujhe darr hai ki wo mujhe pasand nahi karegi. Hazrat Abdullah bin Masud ne farmaya : mohabbat ALLAH ki taraf se hoti hai aur nafrat shaitan ki taraf se. Jab tum biwi ke paas jao to sabse pahle use kaho ki wo tumhare piche 2 rakat namaz padhe. 

(Gunyatuttalebin : jild-5,page-115) 

Namaz aur fir uske baad duwa padh lene ke baad dulha dulhan palang par sukun se baith jaye fir uske baad dulha apni dulhan ki peshani ke thode baal apne sidhe haath me narmi ke saath mohabbat bhare andaz me pakde aur ye duwa padhe :
Allahumma inni as aluka min khaireh wa khairem jabalth alayhi wa auzoo beka min sharreh wa sharrem jabalth alayhi.
Tarjuma : Aye ALLAH mai tujhse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki buraise.(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)

Tags: Dua For Married Couple, Dua for Marriage First Night



No comments