Special Blessings Of Ramadan (BAHAR-E-RAMZAN)

Share:
Five Special Blessings Of Ramadan

Sayyiduna Jabir bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) has narrated that the Beloved and Blessed Prophet (SallAllahu Alayhi wa Sallam) has stated, "In Ramadan, my Ummah has been gifted five such things which were not given to any other Prophet (Alayhim as-Salam) before me:

1. On the first night of Ramadan, Allah showers special mercy upon them and the one upon whom Allah showers special mercy will never be punished.

2. In the evening, Allah likes the smell emanating from their mouths (due to hunger) more than even musk.

3. Angels pray for their forgiveness every night and day.

4. Allah orders Heaven to be adorned for His (righteous) people and says, ‘Soon they will get rid of the grief of the world and find solace in My house and My bounties.’

5. On the last night of Ramadan, Allah forgives them all."

[At-Targhib Wat-Tarhib, Vol. 2, Page 56, Hadith 7]

--------------------------------------------------------------------

🌹🌺🌹🌺🌹🌺🌹🌺

💫BAHARE-RAMZAN💫

🌹🌺🌹🌺🌹🌺🌹🌺

↪PART :- 11.

💐SEHRI KHANE KI FAZEELAT.....

🍃Sehri khaaya karo kyon ki Sehri khane me har Luqme ke badle 60 baras ki ibadat ka sawab milta hai...

🍃AAQA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka Farman hai
Sehri khao !
Kyunki Sehri me barkat hai
Jis ne ALLAH PAK Ki Raah ME Roza rakha to ALLAH PAK uske chehre ko Jahannum se 70 saal ki Musafat jitna door farma dayta hai.....

🍂Jis shaks ne Roze Rakhkar bhi jhoot bolna aur jhoot par amal karna na choda to ALLAH PAK ko is se koi Dilchuspi nahi ki wo bhuka aur pyasa rahe...

📚(Muslim Sharif 1153)

↪Mas,ala :-

🍃Sahri ka khana aur usme Takhir (deri) karna mustahab hai magar itni takhir makrooh hai ki subah saadiq hone ka shak ho jaye...

📚[Alamgeeri]

↪Mas,ala :-

🍂Iftaar me jaldi karna mustahab hai magar iftaar us waqt kare ki guroob ka gaalib gumaan ho  jab tak gumaan gaalib na ho iftaar na kare Agarche muazzin ne azaan kah di hai aur abr ke din me aftaar jaldi nahi karni chahiye.

📚[Bahare shariat]

🍂IBNE UMAR RADIYALLAHU T'ALA ANHUMA riwayat karte hain ki HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne farmaya ki ALLAH T'ALA aur uske farishte Sahri khane walon par durood bhejte hain.

📚[Bahare shariat]

🍃Bukhari wa Muslim wa Ibne Maja Me ANAS RADIYALLAHU T'ALA ANHU se rawi ki HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne farmaya ki Sahri khaao ki Sahri Khane me barkat hai,

🍂Muslim wa Aboo Daud wa Ibne Khuzaima AMR IBNE AAS RADIYALLAHU T'ALA ANHU se rawi ki HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM farmate hain ki Humare aur Ahle kitaab ke Rozon me Farq Sahri ka Luqma hai. .....

📚[ Bahare shariat ]

↪HADITH:

🍃HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA'ALA ANHU kehte hai ki NABI KAREEM SALALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmaya ki
Jab mahe RAMZAN ki paihli raat hoti hai to shayateen aur sarkash jin Qaid kar liye jate hai aur JAHENNUM ke darwaze band kar diye jate hai unme se koi darwaza khola nahi jata aur JANNAT ke darwaze khol diye jate hai aur unme se koi darwaza band nahi kiya jata aur Munaadi pukarte hai A khair ki talab karne wale mutawajje ho aur Aye burai ka irada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLAH bahot se logon ko DOZAK se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai .

📚(TIRMIZI-IBN-E-MAJAH)

1 comment:

  1. YA RAB TARY MEHBOOB KA JAWA DIKHA DE
    US _HUSSAIN_E_MUJASAM KA SIRAPA DIKHA DE
    BUS MARY DIL KI YAHI DUA HAI MOLA
    IS SMS PARHANAY WALO AUR BEHJINY WALY KO MADINA DIKHA DE (AMEEN)
    Hafiz Ahmed Raza Qadri Naats

    ReplyDelete