Qurbaani Ka Bayaan | All you want to know about Qurbaani

Share:
*QURBAANI KA BAYAAN*

Information on#Qurbani & #Eid ul Adha (#Bakrid)  

Qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya
ّفَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَر‌ْ
Tum apne rabb ke liye namaz padho aur qurbaani karo
(surah e kausar aayat no.2) 



AHAADEES E KAREEMA

(1) ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin aur oh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zmeen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo
(Abu daaud / tirmizi / ibn e maajah)

(2) hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi
(tibraani)

(3) hazrat abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riyawat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya jo rupiya eid ke din qurbaani men kharch kiya gaya us se ziyadah koi rupiya piyara nahin
(tibraani)

✳Hazrat e Abu Hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzur e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis men us'at ho aur qurbani na kare woh hamari eid gaah ke qareeb na aaye
(Ibn e Maajah)

✳Hazrat e Zaid Bin Arqam رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ki Sahaba kiram ne arz ki   Ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم ye qurbaaniya kiya hai farmaya ke tumhare baap Ibraahim عليه السلام ki sunnat hai logo ne arz ki Ya Rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم hamare liye is men kiya sawab hai , farmaya har baal ke muqabil neki hai , arz ki aur uoon ka kiya hukm hai , farmaya keh uoon ke har baal ke badle men neki hai
(Ibn e Maajah)

✳Hazrat Barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai ki Nabi e kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya sab se pahle jo kaam aaj ham karenge woh ye hai keh namaz padhenge aur phir qurbaani karenge
(Bukhari)

✳Hazrat e Barrah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Huzur e Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya ke aaj ke din jo kaam hum ko pahle karna hai woh namaz hai aur is ke ba'd qurbaani karna hai jis ne aisa kiya oh hamari sunnat ko pahuncha.
(Imam Ahmad)

Question:
Halal jawaron me kaunsi cheezein khana mana o na jaiz hain?
Barah e karam rahnumayi farmayein aur munasib ho ki hawale se jawab inayat farmayein.
JazakAllah

Answer:


HALAAL JAANWAR KE SAB AJZA HALAAL HAIN MAGAR KUCHH AJZA HARAAM YA MAMNOO YA MAKROOH HAIN

(1) ragon ka khoon

(2) pittah

(3) phunkna

(4) alamat e maadah

(5) alamat e narr

(6) baize

(7) gudood

(8) haraam magz

(9) gardan ke 2 putthe k shano tak khinche hote hain

(10) jigar ka khoon

(11) tilli ka khoon

(12) gosht ka khoon k ba'd e zabah gosht me se nikalta hai

(13) dil ka khoon

(14) pitt yani wo zard paani k pitte me hota hai

(15) naak ki rutoobat k bhed me aksar hoti hai

(16) paakhana ka maqaam

(17) ojhdi

(18) aanten

(19) nutfa

(20) wo nutfa k khoon ho gaya

(21) wo k gosht ka lothda ho gaya

(22) wo k poora Jaanwar ban gaya aur murda nikla ya be zabah mar gaya

(Fatawa razviyyah  jild 8  safah 327)

QURBAANI KI TA'REEF

✳Makhsoos Janwar Ko Makhsoos Din Mein Baniyyat E Taqarrub Zabah Karna Qurbani Hai..
(Bahar E Shari'at)

QURBAANI KI QISMEN

Qurbaani Ki Kayi Qismen Hain

♻ Gani Aur Faqeer Dono Par Wajib Hai  Is Ki Soorat Ye Hai Keh Qurbani Ki Mannat Maani Ye Kaha Keh Allah Ke Liye Mujh Par Bakri Ya Gaaye Ki Qurbaani Karna Hai Ya Is Bakri Ya Gaaye Ki Qurbani Karna Hai.
(Bahar E Shari'at)

♻ Faqeer Par Wajib Ho Gani Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Faqeer Ne Qurbaani Ke Liye Janwar Khareeda Us Par Us Jaanwar Ki Qurbaani Wajib Hai Aur Agar Gani Khareedta To Is Khareedne Se Qurbaani Us Par Wajib Na Hoti.
(Bahar E Shari'at)

♻ Gani Par Wajib Ho Faqeer Par Wajib Na Ho Is Ki Soorat Ye Hai Ke Qurbaani Ka Wujoob Na Khareedne Se Ho Na Mannat Maanne Se Balkeh Khuda Ne Jo Use Zindah Rakha Hai Us Ke Shukriya Mein Aur Hazrat Ibraahim عليه السلام Ki Sunnat Ki Ihya Mein Jo Qurbaani Wajib Hai Woh Sirf Gani Par Hai..
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:-  Musafir Pe Qurbaani Wajib Nahin Agar Musafir Ne Qurbaani Ki Tataww'u (Nafl) Hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH :- Aqeer Ne Agar Na Mannat Maani Ho Na Qurbaani Ki Niyyat Se Jaanwar Khareeda Ho To Uska Qurbaani Karna Bhi Tataww'u (nafl) Hai..
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Bakri Ka Maalik Tha Aur Uski Qurbaani Ki Niyyat Kar Li Ya Khareedne Ke Waqt Qurbaani Ki Niyyat Na Thi baa'd mein Niyyat Kar Li To Is Niyyat Se Qurbaani Wajib Nahin Hogi.
(Bahar E Shari'at)

*QURBAANI KE WAJIB HONE KE SHARAAIT*


♻ ISLAM Yani Gair Muslim Pe Qurbaani Wajib Nahi.

♻ IQAAMAT Yani Muqeem Hona Musaafir Par Wajib Nahi.

♻ TAWANGARI  Yani Maalik Nisaab Hona Yahan Maaldaari Se Murad Wahi Hai Jis Se Sadqa E Fitr Wajib Hota Hai Woh Murad Nahi Jis Se Zakat Wajib  Hoti Hai.

(Nisab Ki Tafseel Nisab Ke Bayan Mein Mulahaza Farmayen)

♻ HURRIYYAT Yani Aazad Hona Jo Aazad Na Ho Us Pe Qurbaani Wajib Nahin Ke Ghulam Ke Paas  Maal Hi Nahi Lihaza Ibadat E Maaliya Us Pe Wajib Nahi.
(Bahar E Shari'at)

♻FAAIDAH
Mard Hona Is Ke Liye Shart Nahi Auraton Par Wajib Hoti Hai Jis Tarah Mardon Par Wajib Hoti Hai Is Ke Liye Buloog Shart Hai Ya Nahi Is Mein Ikhtelaf Hai Aur Naabalig par wajib hai to Aaya Khud Uske Maal Se Qurbaani Ki Jaayegi Ya Uska Baap Apne Maal Se Qurbaani Karega.
Zaahirurriwayah Ye Hai Ke Na Khud Naabalig Par Wajib Hai Na Uski Taraf Se Uske Baap Par Wajib Hai Aur Isi Par Fatwa Hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Musafir Par Agarcheh Wajib Nahi Magar Nafl Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai Sawab Paayega
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Hajj Karne Wale Jo Musafir Ho Un Par Qurbaani Wajib Nahi Aur Muqeem Ho To Wajib Hai Jaise Makkah Ke Rahne Wale Hajj Karen To Chunke Ye Musafir Nahi Ya Jo Log Makkah Mu'azzamah Itne Din Pehle Pahunche Ke Mina Rawana Hone Mein 15 Ya Is Se Ziyadah Din Baaqi Hon Yeh Log Muqeem Hain Un Par Wajib Hogi.

MASLAH:- Sharaait Ka Poore Waqt Mein Paaya Jaana Zaroori Nahi Balke Qurbaani Ke Liye Jo Waqt Muqarrar Hai Uske Kisi Hissa Mein Sharaait Ka Paaya Jaana Wujoob Ke Liye Kaafi Hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Shakhs Ibteda E Waqt e Qurbaani Mein Kafir Tha Phir Musalman Ho Gaya Aur Abhi Qurbaani Ka Waqt Baaqi Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai Jab Ke Dosre Sharaait Bhi Paaye Jaayen.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Awwal Waqt Mein Musafir Tha Aur Asna E Waqt Mein Muqeem Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hogi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Faqeer Tha Aur Waqt ke Andar Maaldaar Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Jo Shakhs 200 dirham (Saadhe 52 Taula Yani (612)  Gram Chaandi ) Ya 20 Deenaar (Saadhe 7 Taulah Yani Saadhe 87 Gram Sona)  Ka Maalik Ho Ya Haajat Ke Siwa Kisi Aisi Chiz Ka Maalik Ho Jis Ki Qeemat 200 Dirham (Saadhe 52 taula Chaandi)  Ho Woh Gani Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Haajat E Asliyyah Se Muraad Rehne Ka Makan Aur Khana Daari Ke Saman Jinki Haajat Ho Aur Sawari Ka Janwar Khadim Aur Pahanne Ke Kapde In Ke Siwa Jo Chiz Ho Woh Haajat Se Zaaid Hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Us Shakhs Pe Dain (Qarz Wagairah) Hai Aur Uske Amwal Se Dain Ki Miqdaar Mujra Ki Jaaye To Nisaab Nahi Baaqi Rahti Us Par Qurbaani Wajib Nahi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Maal Yahan Maujood Nahi Aur Ayyam E Qurbaani Guzarne Ke baa'd Woh Maal Use Mausool Hoga To Qurbaani Wajib Nahi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Maalik E Nisaab Ne Qurbaani Ke Liye Bakri Khareedi Thi Woh Gum Ho Gayi Aur Us Shakhs Ka Maal Nisaab Se Kam Ho Gaya Ab Qurbaani Ka Din Aaya To Us Par Ya Zaroori Nahi Keh Dusra Jaanwar Khareed Kar Qurbaani Kare Aur Agar Woh Bakri Qurbaani Hi Ke Din Mil Gayi Aur Wo Shakhs Ab Bhi Maalik E Nisaab Nahi Hai To Us Par Us Bakri Ki Qurbaani Wajib Nahi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Makan Jaade Ke Liye Aur Ek Garmi Ke Liye Ye Haajat Mein Daakhil Hai In Ke Ilawah Us Ke Paas Teesra Makan Ho Jo Haajat Se Zaaid Hai Agar Ye 200 dirham (Saadhe 52 Taula Chaandi)  Ka Hai To Qurbaani Wajib Hai..

MASLAH:- Haajat Se Zaaid Makan Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Ko Pahunchti Ho To Qurbaani Wajib Hai Agarcheh Woh Makan Kiraya Par Chalata Ho Ya Khali Pada Ho...
(Fatawa Razviyyah  Jild  8 Safah 389)

MASLAH:- Makan E Sukunat Itna Bada Hai Ke Uska Ek Hissa Us Ke Jaade Garmi Ki Sukunat Ke Liye Kaafi Ho Aur Dusra Hissa Haajat Se Zaaid Ho Aur Uski Qeemat Tanha Ya Usi Qism Ke Maal Me Milkar Nisaab Tak Pahunche Jab Bhi Qurbaani Wajib hai..
(Fatawa Razviyyah  Jild 8  Safah 389)

MASLAH:- Garmi Jaade Ke Bichhone Haajat Me Daakhil  Hain Aur Teesra Bichhona Jo Haajat Se Zaaid Hai uska ietebaar hoga.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Kisi Ke Paas 2 Car Hai Agar Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai Aur Dusri Zaaid Hai To Agar Dusri Ki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye Qurbaani Wajib Hai.

MASLAH:- 2 Motor Cycle Hai Ek Se Zaroorat Poori Ho Sakti Hai To Dusri Wali Motor Cycle Haajat Se Zaaid Hai Aur Dusri Motor Cycle ki Qeemat Nisaab Ko Pahuch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai.

MASLAH:-  Bartan Kuch Istemaal Ho Rahe Hain Aur Kuch Rakhe Huye Hai To Rakhe Huye  Bartan Zaaid Hai Uska Bhi Ietebaar Hoga.

MASLAH:- T.V.,   Video Camera Wagairah Haajat E Asliyyah Se Nahin Lihaza Agar Unki Qeemat Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai...

MASLAH:- Fridge , Washing Machine,  Mixer Machine Wagairah Haajat E Asliyyah Me Hai.

MASLAH:- Ghar Me Pahanne Ke Kapde Aur Kaam Kaaj Ke Waqt Pahanne Ke Kapde Aur Juma O Eidain Aur Dusre Mauqo Par Pahen Kar Jaane Ke Kapde Ye Sab Haajat me Daakhil Hai Aur In 3 Ke Siwa Chautha Joda Agar 200 Dirham Ka Hai To Qurbani Wajib Hai..
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Kisi Ke Paas Kuch Zaaid Bartan Hai Magar Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Kapde Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchte Ya Zaaid Gaadi Wagairah Tanha Nisaab Ko Nahi Pahunchti Magar Ye Sab Zawaaid Mil Kar Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Qurbaani Wajib Hai.

MASLAH:- Kisi Ke Paas Khet Hai Aur Uski Qeemat Nisaab Tak Pahunchti Ho To Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.
(Maakhuz Az Fatawa Razviyyah  Jild  8 Safah 393/ Ahkam Shari'at )

MASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Mein Iska Ahal Na Tha Wujoob Ke Sharaait Nahi Paaye Jaate The Aur Aakhir Waqt Me Ahal Ho Gaya Yani Wujoob Ke Sharaait Paaye Gaye To Us Par Wajib Ho Gayi
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Agar Ibteda E Waqt Me Wajib Thi Aur Abhi Ki Nahi Aur Aakhir Waqt Me Sharaait Jaate Rahe To Wajib Na Rahi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Shakhs Faqeer Tha Magar Usne Qurbaani Kar Daali Uske Baa'd Abhi Waqt Qurbaani Ka Baaqi Tha Ke Gani (Maalik E Nisaab) Ho Gaya To Usko Phir Qurbaani Karni Chaahiye Keh Pahle Jo Ki Thi Woh Wajib Na Thi Aur Ab Wajib hai.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Agar Baawajood Maalik Nisaab Hone Ke Usne Qurbaani Na Ki Aur Waqt Khatm Hone Ke Baa'd Faqeer Ho Gaya To Us Par Bakri Ki Qeemat Ka Sadqa Karna Wajib Hai Yani Waqt Guzarne Ke Baa'd Saaqit Nahi Hogi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:- Ek Ghar Me Kayi Afraad Maalik E Nisaab Hai To Jitne Log Maalik E Nisaab Hai Sab Par Qurbaani Wajib Hai Ghar Ke Kisi Ek Fard Ki Qurbaani Hone Se Dusre Ka Wujoob Ada Na Hoga.

MASLAH:- Kayi Afraad Me Maal Mushrtarak Hai To Agar Maal Shuraka Me Taqseem Karne Ke Baa'd Har Fard Ke Hissa Me Itna Maal Aata Ho Ke Nisaab Ko Pahunch Jaaye To Sab Par Qurbaani Wajib Hai Aur Agar Har Ek Ka Hissa Nisaab Se Kam Ho To Kisi Par Wajib Nahi.

MASLAH:- Agar Maalik E Nisaab Bagair Qurbaani Kiye Huye Unhi Dino Me Mar Gaya To Uski Qurbaani Saaqit Ho Gayi.
(Bahar E Shari'at)

MASLAH:-  Qurbaani Ke Waqt Me Qurbaani Karna Hi Laazim  Hai Koi Dusri Chiz Uske Qaaim Maqam Nahi Ho Sakti Maslan Bajaaye Qurbaani Usne Bakri Ya Uski Qeemat Sadqa Kar Di Ye Nakaafi Hai.
(Bahar E Shari'at)

*JO SAAHIB E ISTETA'AT NA HO USKI QURBAANI*

♻HADEES
Hazrat E Abdullah Bin Umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya mujhe yaum e azha ka hukm diya gaya us din ko khuda ne is ummat ke liye eid banaya ek shakhs ne arz ki ya RasoolAllah صلى الله تعالى عليه وسلم ye bataaiyen agar mere paas meenha ke siwa koi Jaanwar na ho to kiya uski Qurbaani kar dun ( menha us janwar ko kahte hain jo dosre ne use is liye diya hai keh kuchh dino uske doodh wagairah se faaidah uthaye aur phir maalik ko wapas kar de ) huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya nahi.

♻Haan tum apne baal aur naakhun tarashwaao aur moye zer e naaf mundo is me tumhari Qurbaani khuda ke nazdeek poori ho jaayegi yani jisko Qurbaani ki taufeeq na ho to use in chizo ke karne se Qurbaani ka sawab haasil ho jaayega.
(Abu Daaud, Nasai)

BAAL O NAAKHUN KATWANE KA HUKM

♻HADEES
Ummul Momineen Umm E Salama رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh Huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ni zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iraadah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbaani na kar le baal o naakhuno se na le yani na tarashwaye.
(Muslim / Tirmizi / Nasai)

MASLAH:- Jis ko Qurbaani karne ka iradah ho us ke liye mustahab hai ke zilhijjah ka chaand dekhne ke baa'd naakhun baal wagairah na kaate.

MASLAH:- Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab,  khwah bila uzr naakhun na tarashe hon,  khat banwaya na ho ke chaand zilhijjah ho gaya to agarcheh Qurbaani ka iradah rakhta ho is mustahab par amal nahin kar sakta ke ab daswen tak rakhega to naakhun o khat banwaye huye ektaaliswan (41) din ho jaayega aur 40 din se ziyadah na banwana gunaah hai
Fe'l e mustahab ke liye gunaah nahin kar sakta
(Fatawa Razviyyah  Jild 8  Safah 358)

MASLAH:- Jise dusre ya teesre din Qurbaani karni hai us ke liye behtar hai keh woh dusre ya teesre din Qurbaani ke baa'd naakhun o baal wagairah kaate.

MASLAH:- Eid ki namaz ke ba'd aur Qurbaani se pahle naakhun baal wagairah katwa liya to is men bhi harj nahin

*QURBAANI KA HUKM*


MASLAH:- Qurbaani ka hukm ye hai keh us ke zimmah jo Qurbaani wajib hai kar lene se bariuzzimmah ho gaya
(Bahar e shari'at)

MASLAH:- achhi niyyat se ki hai riya (dikhawa) wagairah ki mudakhalat nahin to allah ke fazl se ummeed hai keh aakhirat men uska sawab mile

MASLAH:- ek se ziyadah  Qurbaani ki sab Qurbaaniyaan jaayez hain ek wajib baaqi nafl
(Bahar e shari'at)

MASLAH:- agar ek poori gaaye Qurbaani ki to poori se wajib hi ada hoga ye nahin keh saatwa hissa hi wajib ho baaqi nafl
(Bahar e shari'at)

*QURBAANI KI MANNAT KA BAYAN*


MASLAH:- Qurbaani ki mannat sahih hai agar shart paayi gayi to Qurbaani karna wajib hai maslan kisi ne kaha mera fulaan kaam ho jaaye to main Qurbaani karunga aur oh kaam ho gaya to Qurbaani wajib hai

MASLAH:- Qurbaani ki mannat maani aur ye mu'ayyan nahin kiya keh gaaye ki Qurbaani karega ya bakri ki to mannat sahih hai bakri ki Qurbaani kar dena kaafi hai
(Bahar e shari'at)

MASLAH:- agar bakri ki Qurbaani ki mannat maani to oont ya gaaye  Qurbaani kar dene se bhi mannat poori ho jaayegi
(Bahar e shari'at)

MASLAH:- Mannat ki Qurbaani men se kuchh na khaye balkeh sara gosht wagairah sadqa kar de aur kuchh kha liya to jitna khaya uski qeemat sadqa kar de
(Bahar e shari'at)

MASLAH:-  Maalik e nisaab ne Qurbaani ki mannat maani to uske zimmah 2 Qurbaaniyaa wajib ho gayin ek oh jo gani par wajib hoti hai aur ek mannat ki wajah se
(Bahar e shari'at)

MASLAH:- 2 yaa 2 se ziyaadah Qurbaaniyo ki mannat maani to jitni Qurbaaniyo ki mannat hai sab wajib hai
(Bahar e shari'at)

REFERENCE - FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

No comments