Information on Fasting (Roza in Hindi)

Share:
Information on Fasting (Roza in Hindi) Fasting Q&A

Rozah kis par farz hai ?

Ramazaan ke roze har musalmaan, Mard O Awrat,  Aaqil O Baaligh par farz hai.

Rozah farz hone ka inkaar karnewala kaafir hai. Baghair sharai majboori ke chhodne-wala gunahgaar aur dozakh ka sazawaar hai.

Bachche rozah rakh sakte hon to un ko rakhwaya jaaye aur mazboot aur taaqatwar ladke aur ladkiyon ko maar kar rakhwaya jaaye.( agar na rakhein )

Ramazaan k poore mahine ke rozeh farz hai. Roze 10 Shaabaan 2 hijri mein farz huwe.

DURRE MUKHTAAR

 Rozah kisko kehte hai ?

Shariyat ki nazar mein rozeh ka matlab hai ke Allah ki ibaadat ki niyyat se subha saadiq se le kar suraj dubne tak (maghrib tak) khaane piine aur jimaa (matlab biwi se mulaaqaat- ham-bistari ) se apne ko rok rakhna.

Rozeh farz hone ki wajeh kya hai ?

Huzur sallallahu alayhi wa aalihi wasallam ne kuch din ramazaan k mahine mein ghaare hiraa mein guzaare Aur un dinon mein khaane se parhez karte aur raat Zikrullah ( Allah ki yaad ) mein guzaarte..

To un dinon ki yaad taaza karne k liye roze farz kiye taake Allah k Rasool ki sunnat qaayem rahe.

 Kya haiz O nifaas wali awrat par bhi rozah farz hai..?

Awrat par haiz O nifaas ki haalat mein rozah sahih nahi Lekin haiz O nifaas wali awrat par in dinon ( haiz k din ) k guzarne k baad, paak hone k baad, in chhute huwe rozon ki qazaa farz hai.
Naa baaligh par rozah farz nahi.

No comments