Namaz Mein “Tashahhud” Mein Ungli kab utana chahiye

Share:
Question: When to raise finger in Salat during Tashahhud? Namaz Mein “Tashahhud” Mein Ungli kab utana chahiye?

Answer: Namaz mein Tashahhud (Qaidah) mein ” اشہد ان لا اله الا اللہ” pe shahadat ki ungli se isharah karna Sunnat hai. 


Jab Attahiyyaat padthe hain, Ash'had'u'un La ilaha par pauche, tho angute ke saat akhri 3 ungliyon ko gol karle aur Shahdat ki ungli se ishara karte hue utana chahiye aur illala La par gira de.


In Tashahud, when you are reaching La'ilaha make a circle in your right hand by joining the thumb with the middle finger and curl the small and it's adjacent finger with the middle finger and on the word La lift your index finger but don't move side to side and when you reach 'illallahu' straighten your hand back to normal.


Watch this video for all the details, Huzur Salalahu Alaihi Wa Salam Sunnat and hadtiths from the Sahaba's by Mufti Muhammad Shahid Barkaati




HADITH – 1

Aamir bin Abdullah رضي الله تعالى عنه se marwi hai, Unhone Hazrat Abdullah bin Zubair رضي الله تعالى عنه se riwayat ki, unhone bayan kiya ki Huzoor ﷺ jab dua farmate (Tashahhud padhte) to ungli se ISHARA farmate aur ungli ko NAHI HILATE THE.
[● SUNAN ABU DAWOOD, BAAB ISHARATU FI TASHAHHUD, 1/260, HADITH 989]

HADITH – 2

Imam Nasai ne farmaya: Hum se hadith bayan ki Ayub bin Muhammad Waz’zan ne, Unhone kaha hum se hadith bayan ki Hajjaj ne, Unhone kaha ki Ibne Juraij ne kaha ki mujhe khabar di Ziyad ne Muhammad bin Ajlaan se, Unhone Aamir bin Abdullah bin Zubair se, unhone Hazrat Abdullah bin Zubair رضي الله تعالى عنه se ki Nabi e Kareem ﷺ jab Tashahhud padhte to Ungli se ISHARA karte aur USSE NAHI HILATE THE.
[● SUNAN NASAI, BAAB BAST AL USRA ALA AL RUKBAH, 3/37, HADITH NO 1269]

HADITH – 3

Ibne Juraij se marwi hai unhone kaha mujhe hadith pohchi hai Aamir bin Abdullah bin Zubair رضي الله تعالى عنه se ki Nabi e Kareem ﷺ jab Tashahhud padhte to ungli se isharah karte aur usko nahi hilate the.
[• MUSANNAF ABDUR RAZZAQ, 2/249, BAAB RAFUL YADAIN FI’DUA’I; HADITH 3248]

HADITH – 4

Hume khabar di Abu Abdullah Al Hafiz ne, unhone kaha hum se hadith bayan ki Abu Abbas Muhammad bin Yaqoob ne, Hum se hadith bayan ki Muhammad bin Ishaq Al Sagani ne, Unhone kaha hum se hadith bayan ki Fazl bin Yaqoob ne, unhone kaha hun se hadith bayan ki Hajjaj bin Muhammad ne, Unhone kaha ki Juraij ne kaha ki mujhe khabar di Ziyad ne Muhammad bin Ajlaan se, Unhone Aamir bin Abdullah bin Zubair se, Ibne Zubair رضي الله تعالى عنه ne bayan kiya ki Nabi e Kareem ﷺ jab tashahhud padhte to ungli se isharah karte aur USKO NAHI HILATE THE.
[• BAIHIQI FI SUNAN E KUBRA, BAAB MAN RAWA ANNAHU ASHAARA BIHA WALAM YUHARRIK HA, 2/189, HADITH NO 2786]

No comments