Friday, February 7, 2025

Shab-e-Baraat Ki Ibadat: 6 Rakat Namaz Aur Dua E Nisf Shabaan

Shab-e-Baraat Ki Ahmiyat Aur Ibadat

Shab-e-Baraat ek azeem shab hai jo 15 Sha'ban ki raat ko manayi jati hai. Yeh raat maghfirat (maafi) aur rehmat (rahmat) ki raat hai. Is raat me Allah ke naik bande apne gunahon ki maafi mangte hain aur ibadat karte hain.

Ramadan Sehri Iftari Timings


Shab-e-Baraat Ki 6 Rakat Namaz Ka Tariqa

Shab-e-Baraat ki raat Maghrib ki namaz ke baad ek khaas namaz padhi jati hai jo 6 rakat par mushtamil hoti hai. Is namaz ki tajziya neeche di ja rahi hai:

Pehli Do Rakat (Darazi Umar Bil Khair)

👉 Niyat: Ya Allah, mujhe darazi umar bil khair ata farma. 

👉 Qirat: Har rakat me Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas 3 martaba padhna behtar hai. 

👉 Dua: Har do rakat ke baad Surah Yasin ya 21 martaba Surah Ikhlas padhein.

Doosri Do Rakat (Balaon Se Hifazat)

👉 Niyat: Ya Allah, hamein balaon se aman ata farma. 

👉 Qirat: Har rakat me Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas 3 martaba padhna behtar hai. 

👉 Dua: Har do rakat ke baad Surah Yasin ya 21 martaba Surah Ikhlas padhein.

Teesri Do Rakat (Hajaat Ki Puraai)

👉 Niyat: Ya Allah, hamein apne siwa kisi ka mohtaaj na bana. 

👉 Qirat: Har rakat me Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas 3 martaba padhna behtar hai. 

👉 Dua: Har do rakat ke baad Surah Yasin ya 21 martaba Surah Ikhlas padhein.

Surah Ikhlas Aur Surah Yasin Ki Fazilat

Surah Ikhlas ka tilawat karna Tawheed ki taaleem ko mazboot karta hai. Is surah ki barakat se naikiyaan barhti hain aur maghfirat milti hai. Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya ke jo shakhs Surah Ikhlas ko 3 martaba padhta hai, usne Quran ka pura ek hisa pad liya.

Surah Yasin ko Qalb-ul-Quran kaha jata hai. Yeh surah barkat aur rehamat ka sabab banti hai aur isse musibat aur pareshani door hoti hai. Shab-e-Baraat ki raat iski tilawat karne se duain qubool hoti hain aur gunaah maaf kiye jate hain.

Shab-e-Baraat Ke Azeem Fawaid

  1. Maghfirat Ka Mauqa: Is raat Allah Ta'ala apne bandon ki tauba qubool karta hai.

  2. Rizq Mein Izafa: Ibadat karne se Allah rizq me barkat ata farmata hai.

  3. Balaon Se Nijat: Is raat namaz aur tilawat se musibat door hoti hai.

  4. Qabr Ka Azaab Door Hona: Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya ke Shab-e-Baraat ki raat qabaristano me bhi Allah ki rehmat nazil hoti hai.

  5. Behtareen Mauqa Dua Mangne Ka: Is raat agar dil se dua ki jaye to Allah usse zaroor qubool karta hai.

Dua-e-Nisf-e-Sha'ban Ka Ahmiyat

Shab-e-Baraat par Dua-e-Nisf-e-Sha'ban padhna bohot afzal hai. Is dua me gunahon ki maafi aur Allah ki rehmat ki darkhwast ki jati hai. 

Dua-e-Nisf-e-Shabaan  

ادب ليلة النصف من شهر شعبان

ادب الطريقة
قراءة يس ثلاث مرات، المرة الاولى بنية طول العمر بالإسلام والإيمان، والمرة الثانية بنية دفع البلاء عنه وعن الامة المحمدية ، والمرة الثلاثة بنية الرزق والإستغناء عن الناس
و بعد كل مرة تدعوا بهذا الدعاء:
اللهم يا ذا المن لا يمن عليه احد يا ذا الجلال والإكرام يا ذا الطول والأنعام، لا إله إلا أنتَ ظهر اللاجئين وجار المستجيرين وامان الخائفين اللهم ان كنت كتبتني عندك في ام الكتاب شقيا أو محروما أو مطرودا أو مقترا عليّ من الرزق فامح اللهم بفضلك شقاوتي وحرماني وطردي واقتار رزقي وثبتني عندك في ام الكتاب سعيدا ومرزوقا للخيرات فانكَ قلت وقولك الحق في كتابك المنزل على لسان نبيك المرسل يمحوا الله ما يشاء ويثبت وعنده ام الكتاب. إلهي بالتجلي الأعظم في ليلة النصف من شهر شعبان المعظم المكرم التي يفرق فيها كل امر حكيم ويبرم ان تكشف عنا من البلاء ما نعلم وما لا نعلم وما أنتَ به اعلم إنكَ أنتَ الأعز الاكرم. وصلى الله على سيدنا محمد وعلى آله وصحبه وسلم.


Dua-e-Nisf-e-Shabaan in English

Allaahumma Yaa Zal-manni wa laa yamunnu 'alayh, yaa Zal-jalaali wal-ikraam, yaa zat-tawli wal-'in'aam. Laa ilaaha illaaa Anta Zahrullaajiinaa, wa jaarul-mustajiiriina, wa Amaanulkhaa-'ifiin.


Allaahumma in kunta katabtanii 'indaka fii 'ummil-kitaabi shaqiyyan 'aw mahruuman 'aw matruudan 'aw muqattaran 'alayyna fir-rizqi famhu..


Allaahumma bi-fazlika shaqaawatii wa hirmaanii wa tardii waqtitaara rizqi, wa 'asbitnii 'indaka fii 'ummil-kitaabi sa'iidam-marzuuqammuwaffaqal-lil-khayraati, fa innaka qulta wa quwlukal-haqqu, fii kitaabikal-munzali, 'alaalisaani Nabiyyikal-Mursali, yamhullaahu maa yashaa-'u wa yusbitu wa 'indahuu 'ummul kitaab 'Ilaahi bit-tajallyil-'a-zami, fii laylatinnisfi min shahri sha'baanal-Mukarrami, 'allatii yufraqu fiihaa kullu 'amrin hakiiminw-wa yubramu, 'an takshifa 'annaa minal-balaaa-'i wal balwaaa-'i maa na'lamu wa maa laa na 'lamu, wa Anta bi-hii 'a'lam. Innaka Antal-'a'azzul-Akram. Wa sallalaahu ta'aalaa 'alaa sayyidinaa Muhammad-dinw-wa 'alaaa 'aalihii wa sahbihii wa sallama Wal-Hamdu lillaahi Rabbil-Aalameen.

Shab-e-Baraat Ki Raat Aur Tilawat-e-Quran

Quran-e-Pak ki tilawat karna har ibadat se behtar hai. Jab bhi Quran sunne ka moka mile, tawajjo se sunna chahiye. Yeh bhi behtar hai ke Shab-e-Baraat ki raat me Surah Mulk, Surah Waqia, Surah Dukhan aur Surah Rehman ki tilawat ki jaye, taake is raat ki barkatein nasib ho sakein.

Shab-e-Baraat Ki Raat Me Kya Karna Chahiye?

Nafl Namaz – Kasrat se Namaz ada karein aur jitni pehle ki chutti hai woh bhi Padein

Tilawat-e-Quran – Quran ki kuch suratein ya puri tilawat karein. 

Tauba Aur Istighfar – Allah se maafi aur gunahon ki maghfirat ki dua karein. 

Sadaqah Aur Khairat – Gareebon aur mohtaj logon ki madad karein. 

Dua-e-Nisf-e-Sha'ban – Yeh dua zaroor padhein. 

Qabristan Ki Ziyarat – Agar mumkin ho to apne buzurgon ki qabr ki ziyarat karein aur unke liye maghfirat ki dua karein.

Shab-e-Baraat ek azeem raat hai jo maghfirat aur rehmat ka azim tyohaar hai. Is raat Allah Ta'ala apne bandon ki dua qubool karta hai aur unke gunaah maaf karta hai. 6 rakat namaz, Surah Ikhlas aur Surah Yasin ki tilawat karna bohot afzal hai. Is raat apni ibaadat ko behtar banane ka moka hai taake hum sab Allah ki rehmat aur maghfirat hasil kar sakein.

Aap bhi Shab-e-Baraat ki is raat ko ibadat me guzaariyein aur Allah se apne gunahon ki maafi maangein. InshaAllah, Allah ki rehmat aur fazl hamesha aapke saath rahega!




Post your Comments

#Islamic Calendar 2025 Events

Islamic 2025 Event Name English Date Islamic Date
Urs Haji Malang January 2, 2025 - Thursday 10 Jumada al-Akhirah 1446
Urs Haji Ali Baba Mumbai January 4, 2025 - Saturday 12 Jumada al-Akhirah 1446
721st Urs Sharif Of Hazrat Khwaja Syed Nizamuddin Aulia Mehboob-e-Elahi Rahmatullah Alayh January 7, 2025 - Tuesday 15 Jumada al-Akhirah 1446
Urs Khwaja Gharib Nawaz, Ajmer Sharif March 24, 2025 - Monday 22 Sha'ban 1446
Lailat al-Miraj (Shab-e-Meraj) January 27, 2025 - Monday 27 Rajab 1446
Shab-e-Barat February 14, 2025 - Friday 15 Sha'ban 1446
Start of Fasting Month (Ramadan) March 1, 2025 - Saturday 1 Ramadan 1446
Lailat al-Qadr (Shab-e-Qadr) March 27, 2025 - Thursday 27 Ramadan 1446
Jummat-ul-Wida March 28, 2025 - Friday 28 Ramadan 1446
Eid-ul-Fitr March 30, 2025 - Sunday 1 Shawwal 1446
#Hajj June 6, 2025 - Friday 9 Dhul-Hijjah 1446
Eid-ul-Adha (Bakrid) June 7, 2025 - Saturday 10 Dhul-Hijjah 1446
Islamic New Year July 28, 2025 - Monday 1 Muharram 1447
Yaum al-Ashura August 6, 2025 - Wednesday 10 Muharram 1447
Eid Milad-un-Nabi September 26, 2025 - Friday 12 Rabi-al-Awwal 1447