Qurbani Ke Masail E Fiqahiyah Aur Qurbani Ka Bayan

Share:
Qurbani & Eid ul Adha (Bakrid) Frequently Asked Questions

#Qurbani Ke Masail E Fiqahiyah Aur Qurbani Ka Bayan



Qurbani Ki Kai Qism Hai. 

1. Gani Aur Faqir Dono Par Wajib
Dono Par Wajib Ho Is Ki Surat Yeh Hai Ke Qurbani Ki Mannat Mani Yeh Kaha Ke ALLAH (Azwajjal) Ke Liye Mujh Par Bakri Ya Bakra Ki Qurbani Karna Hai Ya Is Bakri Ya Us Bakra Ko Qurabni Karna Hai. 

2. Faqir Par Wajib Gani Par Wajib Na Ho.
Faqir Par Wajib Ho Gani Par Wajib Na Ho Iski Surat Yeh Yeh Hai Ke Faqir Ne Qurbani Ke Liye Janwar Kharida Is Par Us Janwar Ki Qurbani Wajib Hai Aur Gani Agar Kharidta To Us Kharidne Sy Qurbaan Us Par Wajib Na Hoti. 

3. Gani Par Wajib Ho Faqir Par Wajib Na Ho.
Gani Par Wajib Ho Faqir Par Wajib Na Ho Iski  Surat Yeh Ke Qurbani Ka Wujub Na Kharidne Sy Ho Na Mannant Sy Balke Khuda Ne Jo Use Zinda Rakha Hai Uske Sukriyah Me Aur Hazrat Ibrahim Allayasallam Ki Sunnat Ke Ihya Me 
(Sunnat E Ibarahim Allaysallam Ko Qayam Rakhne Ke Liye) Jo Qurbani Wajib Hai Wo Sirf Gani Par Hai.

Qurbani ke Masail E Fiqahiyah 

Masla 1 : Musafir Par Qurabani Wajib Nahi Agar Musafir Ne Qurbaani Ki Yeh Tatuh (Nafal) Hai Aur Faqir Ne Agar Na Manat Mani Ho Na Qurbaani Ki Niyat Sy Janwar Kharida Ho Us Ka Qurbani Karna Bhi Nafal Hai.

Masla 2Bakri Ka Malik Tha Aur Uski Qurbaani Ki Niyat Karli Ya Kharid Ne Ke Waqt Qurbaani Ki Niyat Na Thi Bad Me Niyat Karli To Us Niyat S Qurbaani Wajib Nahi Hogi.

Masla 3 : Qurbaani Wajib Hone Ke Sharait Yeh Hai, 

1) Islaam Yani Gair Muslim Par Qurbani Wajib Nahi.

2) Aqamat Yani Muqim Hona, Musafir Par Wajib Nahi, 

3) Tawangari Yani Malik E Nisab Hona Yaha Maldari Sy Murad Wahi Hai Jis Sy Sadqa E Fitr Wajib Hota Hai Wo Murad Nahi Jis Sy Zaqat Wajib Hoti Hai. 

4) Azaad Hona Jo Azad Na Ho Us Par Qurbaani Wajib Nahi Ke Gulam Ke Pas Maal Hi Nahi Lehaja Ibadat Maliyah Us Par Wajib Nahi. Mard Hona Isliye Sharat Nahi. Aurato Par Wajib Hoti Hai Jis Tarah Mardo Par Wajib Hoti Hai Isliye Isliye Balig Sharat Hai Ya Nahi Isme Iktlaaf Hai Aur Na Balig Par Wajib Hai To Aya Khud Us Ke Maal Sy Qurbaani Ki Jayegi Ya Uska Baap Apne Maal Sy Qurbani Karega. Zahir Ul Rawayat Hai Ke Na Khud Nabalig Par Wajib Hia Aur Na Uske Taraf Sy Uske Baap Par Wajib Hai Aur Isi Par Fatwa Hai.

Masla 4 : Musafir Par Wajib Nahi Magar Nafal Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai Sawa Payega. Hajj Karne Wale Jo Musafir Ho Un Par Qurbani Wajib Nahi Aur Muqim Ho To Wajib Hia Jaisy Ke Makka Mukrama Ke Rahne Wale Hajj Kare To Chunke Yeh Musafir Nahi Un Par Wajib Hogi.

Masla 5 : Sharait Ka Pure Waqt Me Paya Jana Zaroori Nahi Balke Qurbaani Ke Liye Jo Waqt Muqrar Hai Uske Kisi Hise Me Sharait Ka Paya Jana Wajub Ke Liye Kafi Hai Maslan Ek Shakhs Ibteda E Waqt Qurbani Me Kafir Tha Phir Musalmaan Ho Gyaa Aur Abhi Qurbani Ka Waqt Baqi Hai Us Par Qurbaani Wajib Hai Jabke Dusre Shrait Bhi Paye Jaye Isi Tarah Agar Gulam Tha Aur Azad Ho Gaya Uske Liye Bhi Yahi Hukm Hai. Yun Hi Awal Waqt Me Musafir Tha Aur Ashna E Waqt Me Muqim Ho Gaya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hogi Ya Faqir Tha Aur Waqt Ke Andar Maldaar Ho Gya Us Par Bhi Qurbaani Wajib Hai.

Masla 6  : Qurbani Wajib Hone Ka Sabab Waqt Hai Jab Wo Waqt Aya Aur Sharait Wujub Paye Gaye Qurbani Wajib Hogi Aur Iska Rukn Aun Makhsus Janwaro Me Kisi Ko Qurbani Ki Niyat Sy Jibah Karna Hai. Qurbani Ki Niyat Dusre Janwar Mashlan Marg Ko Jibah Karna Jaiz Hai.

Masla 7 :  Jo Shakhs 200 Dirham Ya 20 Dinar Ka Malik Ho Ya Hajat Ke Siwa Esi Chiz Ka Malik Ho Jiski Qimat 200 Dirham Ho Wo Gani Hai Us Par Qurbani Wajib Hai. Hajat Sy Murad Rahne Ka Makan Aur Khanadari Ke Saman Jin Ki Hajat Ho Aur Sawari Ka Janwar Aur Khadim Aur Pehanane Ke Kapde Sy Unke Siwa Chizein Ho Wo Hajat Sy Zaid Hai. 

Masla 8 : Us Shakhs Par Dain Hai Aur Uske Amwaal Sy Dain Ki Miqdar Mujra Ki Jaye To Nisab Nahi Baqi Rahti Us Par Qurbani Wajib Nahi Aur Agar Is Ka Maal Yaha Maujud Nahi Hai Aur Ayam E Qurbani Guzarne Ke Bad Wo Mal Us Sy Wasul Hoga To Qurbani Wajib Nahi.

Masla 9 : Ek Shakhs  Ke Pass 200 Dirham They Saal Pura Ho Aur Un Me Sy 5 Dhirham Zakat Me Ek 195 Dirham Baqi Rahe Ab Qurbani Ka Din Aya To Qurbani Wajib Hai Aur Agar Apne Zarooriyat Me Panch Dirham Kharch Karta To Qurbani Wajib Na Hoti.

Masla 10 : Malik E Nisab Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi Wo Gum Ho Gayi Aur Us Shakhs Ka Maal Nisab Sy Kam Ho Gya Qurbani Ka Din Aya To Us Par Yeh Zaroori Nahi Ke Wo Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Kare Aur Agar Wo Bakri Qurbani Hi Ke Dino Me Mil Gayi Aur Yeh Shakhs Ab Malik E Nisab Nahi Hai To Us Par Is Bakri Ki Qurbani Wajib Nahi.

Masla 11 : Aurat Ka Mehar Shauhar Ke Zime Baqi Hai Aur Shauhar Maldar Hai To Us Mehar Ki Waj Sy Aurat Ko Malik E Nisab Nahi Mana Jayega Agar Che Mehar Ma'hmal Ho Aur Agar Aurat Ke Pas Us Ke Siwa Ba Qadar Nisab Maal Nahi Hai To Qurbani Wajib Nahi Hogi.

 Masla 12 : Kisi Ke Pas 200 Dirham Ki Qimat Ka Quran Majid Hai Agar Wo Use Dekh Kar Achi Tarah Tilawat Kar Sakta Hai Toh Us Par Qurbani Wajib Nahi Chahe Us Me Tilawat Karta Ho Ya Na Ho Aur Agar Achi Tarah Use Dekh Kar Tilawat Na Kar Sakta Ho To Wajib Hai. Kitabo Ka Bhi Yahi Hukm Hai Ke Uske Kaam Ki Hai To Qurbani Wajib Nahi Warna Hai.

Masla 13 : Ek Makaan Jarde Ke Liye (Sardi Ke Liye) Aur Ek Garmi Ke Liye Yeh Hajat Me Dakhal Hai Unke Elawa Iske Pass Tisra Makan Ho Jo Hajat Sy Zaid Agar Yeh 200 Dirham Ka Hai Toh Qurbani Wajib Hai Isi Tarah Garmi Jarde Ke Bichone Hajat Me Dakhil Hai Aur Tissra Bichona Jo Hajat Sy Zaid Hai Uska Aitbar Hoga. Gazi Ke Liye Do Ghorde Hajat Me Hai Tisra Hajat Sy Zaid Hai. Aslah Gazi Ki Hajatme Dakhil Hai Han Agar Har Qism Ke Do Hathiyar  Ho To Dusre Ko Hajat Sy Zaid Qarar Dia Jayega. Gao Ke Zamindar Ke Pas Ek Gorda Hajat Me Dakhal Hai Aur Do Ho To Dusre Ko Zaid Mana Jayega. Ghar Me Pehanane Ke Kapde Aur Kamkaz Ke Waqt Pehanane Kkke Kapde Aur Jumuah Wa Eid Aur Dusre Mauqa Par Pehan Kar Jane Ke Kapde Yeh Hajat Me Dakhal Hai Aur In Tino Ke Siwa Chothha Jorda Agar 200 Dirham Ka Hai Toh Qurbani Wajib Hai. 

Masla 14 : Balig Ladko Ya Bibi Ki Taraf Sy Qurbani Karna Chahta Hai To Un Sy Ijazat Hasil Kare Bagair Ijazat Ke Kiye Agar Kardi To Unke Taraf Sy Wajib Ada Na Ho Aur Nabalig Ki Taraf Sy Agar Che Wajib Nahi Hai Magar Kar Dena Behtar Hai.

Masla 15 :  Qurbani Ka Hukm Yeh Hai Ke Uske Jimeh Jo Qurbani Wajib Hai Karlene Sy Bari Ul Jimah Ho Gya Aur Achi Niyat Sy Ki Hai Riya Wagera Ki Madakhalat Nahi Toh ALLAH (Azwajjal) Ke Fazal Sy Ummid Hai Ke Aakhirat Me Iska Sawab Mile.

Masla 16 :  Yeh Zaroori Nahi Ke 10vi Hi Ko Qurbani Kar Dale Isliye Ke Gunjaish Hai Ke Pure Waqt Me Jab Chahe Kare Lehaja Agar Ibtedahe Waqt Me Iska Ahl Na Tha Wujub Ke Sharait Nahi Paye Jate Thy Aur Akhir Waqt Me Ahl Ho Gya Yani Wujub Ke Sharait Paye Gaye To Us Par Wajib Ho Gayi Aur Agar Ibtedah E Waqt Me Wajib Thi Aur Abhi Ki Nahi Aur Aakhir Waqt Me Sharait Jate Rahe To Wajib Na Rahi.

Masla : 17

Ek Shakhs Faqir Tha Magar Usne Qurbani Kar Dali Uske Bad Abhi Waqt Qurbaani Ka Baqi Tha Ke Gani Ho Gya To Use Qurbaani Karni Chaiye Ke Pehle Jo Ki Thi Wo Wajib Na Thi Aur Ab Wajib Hai Baz Ulma Ne Farmaya Ke Wo Pehli Qurbani Kafi Hai Aur Agar Bawjud Malik E Nisab Hone Ke Usne Qurbani Na Ki Aur Waqt Khatam Hone Ke Bad Faqir Ho Gya Toh Us Par Bakri Ki Qimat Ka Sadqa Karna Wajib Hia Yani Yani Waqt Guzarne Ke Bad Qurbaani Saqit Nahi Hogi. Aur Agar Malik E Nisab Bagair Qurbani Kiye Hue Unhi Dino Me Mar Gaya To Uski Qurbani Saqit Ho Gayi.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳.

Masla 18 :
Qurbaani Ke Waqt Me Qurbaani Karna Hi Lazim Hai Koi Dusri Chiz Uske Qaim Maqam Nahi Ho Sakti Mashlan Bajaye Qurbaani Usne Bakri Ya Uski  Qimat Sadqa Kar Di Yeh Nakafi Hai Usme Nihayat Ho Sakti Hai Yani Khud Karna Zaroor Nahi Balke Dusre Ko Ijazat De Di Usne Kar Di Yeh Ho Sakta Hai.

''الفتاوی الھندیۃ''،کتاب الأضحیۃ،الباب الاوّل فی تفسیرھا...إلخ،ج۵،ص۲۹۳،۲۹۴.

Masla 19 : 
Jab Qurbani Ke Sharait Mazkura Paye Jaye To Bakri Zibah Karna Ya Unt Ya Bakra Ka 7va Hisa Wajib Hai. 7ve Hisa Sy Kam Nahi Ho Sakta Balke Unt Ya Bakra Ke Sharka  Me Agar Kisi Sharik Ka 7va Hisa Sy Kam Hai Toh Kisi Ki Qurbaani Nahi  Hui Yani Jiska 7va Hisa Ya Us Sy Jayda Hai Uski Bhi Qurbaani Nahi Hui. Bakra Ya Unt Me 7ve Hisa Sy Jayda Ki Qurbaani Ho Sakti Hai. Maslan Bakra Ko 6 Ya 5 Shakhso Ya 4 Shakhso Ki Taraf Sy Qurbaani Kare Ho Sakta Hai Aur Yeh Zaroori Nahi Ke Sab Sharka Ke Hise Barbar Ho Balke Kam Wa Baish Bhi Ho Sakte Hai Haa Yeh Zaror Hai Ke Jiska Hisa Kam Hai To 7ve Hise Sy Kam Na Ho.

'الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۱۔۵۲۵.

Masla : 20 

7 Shakhso Ne 5 Bakrao Ki Qurbaani Ki Yeh Jaiz Hai Ke Har Bakra Me Har Shakhs Ka 7va Hisa Hua Aur 8 Shakhs Ne 5 Ya 6 Bakaro Me Bahisa Masawi Shirkat Ki Yeh Na Jaiz Hai Ke Har Bakra Me Har Ek Ka 7va Hisa Sy Kam Hai.  7 Bakriyon  Ki 7 Shakhso Ne Sharik Ho Kar Qurbaani Ki Yani Har Ek Bakri Me Sava Hisa Hai Isthanan Qurbani Ho Jayegi Yani Har Ek Ki Ek Ek Bakri Puri Qarar Di Jayegi. Yun Hi Do Shakhso Ne Do Bakriyon Me Shirkat Karke Qurbaani Ki Qurbaani Bataur E Isthaasan Har Ek Ki Qurbaani Ho Jayegi.

۔''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۵.

Masla 21 : 

Shirkat Me Bakra Ki Qurbaani Hui To Zaroor Hai Ke Gosht Wazan Karke Taqsm Kia Jaye Andaza Sy Taqsim Na Ho Kyon Ke Ho Sakta Hai Ke Kisi Ko Zaiya Ya Kam Mile Yeh Najaiz Hai Yaha Yeh Khayal Na Kia Jaye Ke Ka Wa Paish Hoga To Har Ek Usko Dusre Ke Liye Jaiz Kar Degakah Dega Ke Agar Kisi Ko Zaid Pohch Gaya Hai To Mauf Kia Ke Yaha Adam Jawaz Haq Sharah Hai Aur Inko Iske Mauf Karne Ka Haq Nahi.

''الدرالمختار''و''ردالمحتار''،کتاب الأضحیۃ،ج۹،ص۵۲۷.

BAHAR E SHARIAT HISAB 15 QURBAANI KA BAYAAN 

No comments