Qurbani ka Bayan - Hadiths on Qurbani - Bahar E Sharia - Part1

Share:
 QURBAANI KA BAYAAN 


Qurbani & Eid ul Adha (Bakrid) Frequently Asked Questions

Qurbani & Eid ul Adha (Bakrid) Frequently Asked Questions

Makhsus Janwar Ko Makhsus Din Me Baniyat Taqrib Jibah Karna Qurbaani Hai Aur Kabhi Aur Kabhi Aus Janwar Ko Bhi ( اضحیہ) 
Aur Qurbani Kahte Hai Jo Jibah Kia Jata Hai. Qurbani Hazrat Ibarahim Allaysallam Ki Sunnat Hai Jo Is Ummat Ke Liye Baqi Rakhi Gayi Aur Nabi E Karim Sallauallaihiwasallam Ko Qurbaani Karne Ka Hukm Dia Gaya,

Irshad Farmaya :

 (فَصَلِّ لِرَبِّکَ وَ انْحَرْ ؕ﴿۲﴾

Tarjumah : "Tum Apne Rab Ke Liye Namaz Pardho Aur Qurbani Karo."

Surah Kaushar 

Iske Mutliq Pehle Chand Ahadees Zikr Ki Jati Hai Aur Phir Fiqahi Masail Bayan Hogey.

Hadees 1 : Abu Dawood, Tirmizi Wa Ibne Majah Ummul Mominin Aaisha Siddiqa Radiallahu Talah Anuma Sy Rawi Ke Huzur Aqdas Sallauallaihiwasallam Ne Farmaya Ke "Yaum E Kha'hr (10v9 Jil Hijjah) Me Ibne Aadam Ka Koi Amal Khuda Ke Nazdeek Khun Bahane (Qurbani Karne) Sy Jayda Pyara Nahi Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Sing Aur Baal Aur Kharo Ke Sath Aayega Aur Qurbaani Ka Khun Zamin Par Girne Sy Qabl Khuda Ke Nazdik Maqaam Qabul Me Pohch Jata Hai Lehaja Isko Khushdili Sy Karo.

(''جامع الترمذي''،کتاب الأضاحی،باب ماجاء في فضل الأضحیۃ،الحدیث:۱۴۹۸،ج۳،ص۱۶۲)
Hadees 2 : Tibrani Hazrat Imaam Hasan Bin Ali Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Farmaya : "Jis Ne Khushdili Sy Talib E Sawab Ho Kar Qurbaani Ki Wo Aatish E Jahannum Sy Hijaab (Rok) Ho Jayegi.

(''المعجم الکبیر''،الحدیث:۲۷۳۶،ج۳،ص۸۴.)

Hadees 3 : Tibrani Ibne Abbas Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Irshad Farmaya : "Jo Rupiya Eid Ke Dinn Qurbaani Me Kharch Kia Gaya Us Sy Jayda Koi Rupiya Payara Nahi."

(''المعجم الکبیر''،الحدیث:۱۰۸۹۴،ج۱۱،ص۱۴۔۱۵.)


Hadees 4 : Ibne Majah Abu Huraira Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur Aqdas (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم)  Ne Farmaya : "Jis Me Wus'at Ho Aur Qurbani Na Kary Wo Humari Eidgah Ke Qarib Na Aaye".


(سنن ابن ماجۃ''،کتاب الأضاحی،باب الأضاحی واجبۃ ھی أم لا،الحدیث:۳۱۲۳،ج۳،ص۵۲۹)


Hadees 5 : Ibne Majah Ne Zaid Bin Arqam Radiallahu Talah Anho Sy Riwayat Ki Ke Sahaba Radiallahu Talah Anhum Ne Ar Ki Yaa Rasoolllah  (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) 

Humare Liye Is Me Kya Sawab Hai Farmaya : "Har Baal Ke Muqable Naiki Hai Arz Ki Un Ka Kya Hukm Hai Farmaya : "Unke Har Baal Ke Badle Me Naiki Hai." 

(۔المرجع السابق،باب ثواب الأضحیۃ،الحدیث:۳۱۲۷،ص۵۳۱.)


Hadees 6 : Sahi Bukhari Me Bara Radiallahu Talah Anho Sy Marwi Nabi E Karim (صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم ) Ne Farmaya : "Sab Sy Pehle Jo Kam Aaj Hum Karege Wo Yeh Hai Ke Namaz Pardhe Phir  Uske Bad Qurbaani Karege Jisne Esa Kia Us Ne Humari Sunnat Ko Paa Liya Aur Jisne Pehle Jibah Kar Lia Wo Gosht Hai Jo Usne Pehle Sy Apne Ghar Walo Ke Liye Tayar Kar Lia Qurbaani Sy Use Kuch Taluq Nahi. :Abu Barda Radiallahu Talah Anho Khade Hue Aur Yeh Pehle Hi Jibah Kar Chuke Thy (Is Khayal Sy Ke Paros Ke Log Garib Thy Unhone Chaha Ke Unko Gosht Mil Jaye)  Aur Arz Ki Yaa Rasoolallah (صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم ) Mere Pa Bakri Ka 6 Mah Ek Bacha Hai Farmaya : Tum Use Jibah Karlo Aur Tumhare Siwa Kisi Ke  Liye 6 Mah Bacha Kifayat Nahi Karega.


''صحیح البخاري''،کتاب الأضاحی،باب سنۃ الأضحیۃ،الحدیث:۵۵۴۵،ج۳،ص۵۷۱


Hadees 7 : Imaam Ahmad Wagera Bara Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur Aqdas (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم)

Ne Farmaya Ke : "Aaj Ke Din Jo Kaam Humko Pehle Karna  Hai Wo Namaz Hai Aur Iske Bad Qurbaani Karna Hai Jisne Esa Kia Wo Humari Sunnat Ko Pohcha Aur Jisne Pehle Jibah Kar Dala Wo Gosht Hai Jo Usne Apne Ghar Walo Ke Liye Pehle Hi Sy Kar Lia. Nask Yani Qurbaani Sy Usko Kuch Taluq Nahi.

(المسند''،للإمام أحمد بن حنبل،مسند الکوفیین،حدیث البراء بن عازب،الحدیث:۱۸۷۱۵،ج۶،ص۴۴۴)



Hadees 8 : Imaam Muslim Hazrat Ayesha Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Rasoolallah (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم )
Ne Hukm Farmaya Ke Sing Wala Menda Laya Jaye Jo Siyahi Me Chalta Ho Aur Siyahi Me Bethata Ho Aur Siyahi Me Nazar Karta Ho Yani Uske Pao Siya Ho Aur Aankhein Siyah Ho Wo Qurbaani Ke Liye Hazir Kia Gaya Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم )
Ne Farmaya "Ayesha Chhuri Lao Phir Farmaya Use Pathar Par Tiz Karlo Aur Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم )
Ne Chhuri Aur Mende Ko Lita Dia Aur Use Jibah Kia Phir Farmaya :

( ''بِسْمِ اللہِ اَللّٰھُمَّ تَقَبَّلْ مِنْ مُّحَمَّدٍ.وَاٰلِ مُحَمَّدٍ.وَمِنْ اُمَّۃِ مُحَمَّدٍ.''(1))

ILLAHI To Isko Muhammad (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ki Taraf Sy Aur Un Ki Aal Aur Ummat Ki Taraf Sy Qabul Farma.

('صحیح مسلم''،کتاب الأضاحی،باب إستحباب إستحسان الضحیۃ...إلخ،الحدیث:۱۹۔(۱۹۶۷)ص۱۰۸۷.)

Hadees 9 : Imaam Ahmad Wa Abu Dawood Wa Ibne Majah Wa Darmi Jabir Radiallahu Talah Anho Sy Riwayat Karte Hai Ke "Nabi E Karim Sallauallaihiwasallam Ne Jibah Ke Din Do Mainde Sing Chitkabre Khasi Kiye Hue Jibah Kiye Jab Un Ka Muh Qibla Ko Kya Yeh Pardha :

( اِنِّیْ وَجَّھْتُ وَجْھِیَ لِلَّذِیْ فَطَرَ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضَ عَلٰی مِلَّۃِ اِبْرَاھِیْمَ حَنِیْفًا وَّمَا اَنَا مِنَ الْمُشْرِکِیْنَ اِنَّ صَلَا تِیْ وَ نُسُکِیْ وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِیْ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ لَا شَرِیْکَ لَہٗ وَبِذٰلِکَ اُمِرْتُ وَاَنَا مِنَ الْمُسْلِمِیْنَ اَللّٰھُمَّ مِنْکَ وَلَکَ عَنْ مُّحَمّدٍ وَّاُمَّتِہٖ بِسْمِ اللہِ وَاللہُ  اَکْبَرُ.)

Isko Pardh Kar Jibah Farmaya

(''سنن أبي داود''،کتاب الضحایا،باب ما یستحب من الضحایا،الحدیث:۲۷۹۵،ج۳،ص۱۲۶.)

Aur Ek Riwayat Me Hai Me Hai Ke Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Yeh Farmaya Ke "ILLAHI Yeh Meri Taraf Sy Hai Aur Meri Ummat Me Uski Taraf Sy Hai Jisne Qurbani Nahi Ki."

(سنن أبي داود''،کتاب الضحایا،باب في الشاۃ یضحی بہاعن جماعۃ، الحدیث: ۲۸۱۰،ج۳،ص۱۳۱.)

Hadees 10 : Imaam Bukhari Wa Muslim Ne Anas Radiallahu Talah Anho Si Riwayat Ki Ke "Rasoolallah (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم) Ne Do Minde Chitkabre Sing Walo Ki Qurbani Ki Unhe Apne Dast E Mubarak Sy Jibah Kia Aur بِسْمِ اللہِ وَاللہُ اَکْبَر Kaha, Kahte Hai Maine Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ko Dekha Ke Apna Pao Unke Pehlu Par Rakha Aur بِسْمِ اللہِ وَاللہُ اَکْبَر Kaha.

صحیح مسلم''،کتاب الأضاحی،باب إستحباب إستحسان الضحیۃ...إلخ،الحدیث:۱۷(۱۹۶۶)،۱۸(۱۹۶۶) ص۱۰۸۶.

Hadees 11 : Tirmizi Me Hansh Sy Marwi Wo Kahte Hai Maine Hazrat Ali Radiallahu Talah Anho Ko Dekha Ke Do Minde Ki Qurbani Karte Hai Maine Kaha Yeh Kya Unhone Farmaya Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ne Mujhe Wasiyat Farmai Ke Main Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ki Taraf Sy Qurbani Karu Lehaja Main Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ki Taraf Sy Qurbani Karta Ho.

Hadees 12 Abu Dawood Wa Nisai Abdullah Bin Ummar Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Ne Farmaya : "Mujhe Yum E Auza Ka Hukm Dia Gaya Us Din Ko Khuda Is Ummat Ke Liye Eid Banaya Ek Shakhs Ne Arz Ki Yaa Rasoolallah صلَّی اللہ تعالٰی علیہ وسلَّم Yeh Bataye Agar Mere Pass منیحہ (۔منیحہ Us Janwar Ko Kahte Hai Jo Dusre Ne Use Isliye Dia Hai Ke Kuch Dino Uske Dudh Wagera Sy Faida Uthhaye Phir Wapas Usko Karde.)Ke Siwa Koi Janwar Na Ho To Kya Usi Ki Qurbaani Kar Du Farmaya : Nahi". Haan Tum Apne Maal Aur Nakhun Tarswao Aur Muchein Tarswao Zair Naaf Ko Mundp Isi Me Tumhari Qurbani Khuda Ke Nazdik Puri Ho Jayegi.

سنن أبي داود''،کتاب الضحایا،باب ماجاء في إیجاب الأضاحی،الحدیث:۲۷۸۹،ج۳،ص۱۲۳.

Yani Jisko Qurbani Ki Taufiq Na Ho Use In Chizo Ke Karne Sy Qurbaani Ka Sawal Hasil Ho Jayega.

Hadees 13 : Muslim Wa Tirmizi Wa Nisai Wa Ibne Majah Ummul Mominin Ume Salma Radiallahu Talah Anha Si Rawi Ke Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم Ne Farmaya : " Jisne Zul Hijjah Ka Chand Dekh Lia Aur Uska Irada Qurbani Karne Ka Hai To Jab Tak Qurbaani Na Kare Baal Aur Nakhun Sy Na Le Yani Na Tarswaye.

جامع الترمذي''،کتاب الأضاحی،باب ترک أخذ الشعرلمن أرادأن یضحّی،الحدیث:۱۵۲۸،ج۳،ص۱۷۷.

Hadees 14 : Tibrani Abdullah Bin Masood Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Huzur (صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم) Ne Farmaya : "Qurbani Main بقرہ 7 Ki Taraf Sy Aur Unt 7 Ki Taraf Sy Hai.

''المعجم الکبیر''،الحدیث:۱۰۰۲۶،ج۱۰،ص۸۳.

Hadees 15 : Abu Dawood Wa Nisai Wa Ibne Majah Majaish Bin Masood Radiallahu Talah Anho Sy Rawi Ke Huzur صلَّی اللہ تعالٰی علیہ واٰلہٖ وسلَّم Ne Farmaya : "Bherd Ka Jajah (Che Mah Ka Bacha) Sal Bhar Wali Bakri Ke Qaim Muqam Hai."


۔''سنن أبي داود''، کتاب الضحایا،باب ما یجوزمن السن في الضحایا،الحدیث:۲۷۹۹،ج۳،ص۱۲۷.

📚Bahar E Shariat Hisa 15 Qurabni Ka Bayan

No comments