Urs Mubarak Messages, Quotes, Naat and Manqabats

Share:
We bring you Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak, Ajmer Sharif Urs Messages with pictures, Inspirational Quotes By  Hazrat Sarkar Khwaja Moinuddin Chishti, SMS, Tweets and Facebook Messages, Naat Sharif Lyrics, Khwaja Gareeb Nawaz Manqabats with Lyricson the occasion of the blessed Urs Celebrations of Khwaja-e-Kwaajgaan Ataa-e-Rasool Waali-e-Hindostaan Sarkaar Moin-ud-Din Val Haqq Va Sharah Hasan Chisti Sanjari Ajmeri Urs Mubarak

Mere Gumo Ki Hai Tujhko Khabar Ya Khwaja
Utha De Mujhpe Karam Ki Nazar Ya Khwaja
Tu Mere Dil Me Nahi Mere Rooh Me Rahta Hai
Mai Tujhko Chhodkar Jaoo Kidhar Ya Khwaja

Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak

Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures

Kwaja-e-Hind Wo Darbaar Hai Aa’laa Teraa,
Kabhi Mehroom Nahi Mangnewaala  Teraa..
Gareeb Nawaz Urs Mubarak


Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures


Yaa Kwaja Tumhare Roze Par Aaise Bhi Diwaane Aate Hai..
Uoors Ka Bahanaa Hota Hai, Taqdeer Bana Ne Aate Hai..
Ajmer Sharif Urs Mubarak


Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures
बेतलब भीख यहाँ मिलती है आते जाते

यह वोह दर है जहाँ दिल नही तोड़े जाते
ख्वाजा गरीब नवाज़ उर्स मुबारक


Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures
बिगड़ा "नसीबा" भी "सवँर" जाता है
बंद "किस्मत" का ताला भी खुल जाता है
दूर हो जाता है उस "जिंदगी" से हर "अंधेरा"
जो ख्वाजा गरीब नवाज के दर पर जाता है


Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures
आओ फकीरो ईश्क की सौगात माग लो 
जो चैन से बसर हो वो दीन रात माग लो,
दरवाजा है खुला हुआ ख्वाजा गरीब नवाज का आशीको

ख्वाजा गरीब नवाज से पंजतन पाक की खैरात माग लो


Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures
या ख्वाजा गरीब नवाज़
मुझे रहने के लिए किसी आशियाने की जरूरत नहीं,
तेरा दर ही काफी है जिंदगी बिताने के लिए !!

🌹ख्वाजा गरीब नवाज़ उर्स मुबारक🌹




Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures

Mera bigda waqt sanwaar do. Mere khwaja mujhko nawaaz do.
Teri ik nigaah ki baat hai. Meri zindagi ka sawaal hai!!!
Khwaja Gareeb Nawaz Ajmeri Urs Mubarak

Collections of Khwaja Gareeb Nawaz Urs Mubarak Messages, Quotes with Pictures

Ya gharib nawaz
Tu ahle sakhi he ye duniya ko bata dunga.
Har mangne wale ko mai tera pata dunga.
Gareeb Nawaz Urs Mubarak

*****
नबी की आँख के तारे अली की जान है ख़्वाजा
हुसैन इब्ने अली के मर्तबे की शान है ख्वाजा
मुझसे अगर पूछे कोई के तेरा वास्ता क्या है
पकड़ के ख्वाजा की जालिया कह दूँगा

मेरा इमान है ख्वाजा

*****

होके मायूस तेरे दर से सवाली न गया,
झोलिया भर गई सबकी कोई खाली न गया..!!!
🌹 हक मोईन या मोईन 🌹

*****

जहाँ माँगने से मिले उसे संसार कहते हे
जहाँ बिन माँगे मिले उसे मेरे ख्वाजा का दरबार कहते है
 🍁 ख्वाजा गरीब नवाज़ उर्स मुबारक 🍁

*****

दर पे दामन को फैलाने मे मुझे लाज नहीं.
इक तेरे सिवा इस दिल पे किसी का राज नहीं.
तेरे सोने के कलश जैसा कोई ताज नहीं.
जो तेरा है वो किसी हाल मे मौहताज नहीं.....
****** या ग़रीब नवाज सरकार*******
 🍁 ख्वाजा गरीब नवाज़ उर्स मुबारक 🍁

*****

अदब करो की शाहे बेनजीर आते हैं
अली के लाडले पीराने पीर आते हैं
खुला है आज दरे क़ादरी चलो मस्तो
तुम्हे पिलाने को पीराने पीर आते हैं।
ईद ए कादरिया मुबारक़
या गौस अल मदद
 🍁 ख्वाजा गरीब नवाज़ उर्स मुबारक 🍁

*****

मेरी मुराद मेरा मुद्दुआ गरीब नवाज 
मेरी उम्मीद मेरा आसरा गरीब नवाज

🍁खवाजा के दिवाने को उर्स मुबारक🍁

*****


Inspirational Quotes By  Hazrat Sarkar Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rehmatullah Alaih below
Nafs Parasti Hi Asal Me But Parasti Hai, Isko Tark Karne K Bad Khuda Parasti Ki Manzil Shuru Hoti Hai.
Ye Na Dekh K Tu Khaak Ka Putla Hai Aur Kamzor Hai. Balke Ye Dekh K Tu Apne Mehboob (Us Zaat) Ke Jamal Ka Aaina Hai, Aur Wo Tujh Mein khud Jalwagar Hai.
Bhooke Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravai Karna, Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
Kisi Ka Dil Na Dukhaao, Ho Sakta Hai Ke Woh Aansu Tumhari Sazaa Ban Jaye, Dukhiyon Ki Madad Karna Aur Unki Fariyad Sun’na Afzal Ibadat Hai.
Qalam-e-Ilahi Ko Dekhna Aur Parhna Dono Sawaab Hai, Agar Ek Harf Par Nazar Padey Tou 10 Nekiya Darj Ho Aur 10 Buraiya Door Ho. 
“Apne Dil Ko Adawat Aur Nafrat Ke Jazbe Se Paak Rakho! Beshak Jab Log Kisi Khilaf-e-Shariat Baat Ko Dekhe Aur Usko Na Rokey Tou Anqarib Allah Unn Sab Par Apna Azabe-Aam Bhej Dega”. 
Gunah Karne Mai Itna Nuqsaan Nahi Pahochta Jitna Kisi Musalman Bhai Ko Zaleel Khwar Karne Se Pahochta He. 
दुरेश वो है जो किसी हजत-मंड को मेहरूम ना लोटे।
सुल्तान उल हिंद हज़रत ख्वाजा मोइनुद्दीन चिश्ती अजमेरी रेहमतुल्लाह अलीहे ने फार्मैया, "जीस शाक्स में ये 3 ख़स्लत हो अल्लाह तबादक वा ताआला इसे दूस्त रक्ता हैं" (1) दरिया जैसी सखावत (2) आफताब जैसी सफाकट (3) ज़मीन जैसी तवाजो
खमौश और गमिन रेहना आरिफो की एक एकमात (पेहचान) है

Manqabat e Garib Nawaz  
Kalam Written By Mohaddis e Aazam e Hind

Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz ,
Karo Gareeb Nawazi Mere Gareeb Nawaz.

Tumhare Dar Ki Karamat Yeh Baraha Dekhi Humne,
Aaye The Gareeb Aur Ho Gaye Gareeb Nawaz.

Tumhari Zaat Se Mera Bada Talluq Hai ,
Ke Mai Gareeb Bada Tum Bade Gareeb Nawaz.

Laga Ke Aas Badi Door Se Mai Aaya Hoon,
Musafiroon Pe Karam Kijiye Gareeb Nawaz.

Huzoor Ashraf-e-Simna Ke Naam Ka Sadka,
Hamari Jhooli Ko Bhar Dijiye Gareeb Nawaz.

Na Mujh Sa Koi Gada Hai Aur Na Tum Sa Koi Karim
Na Dar Se Uthunga ,Be Kuch Liye Gareeb Nawaz.

Zamane Bhar Se Mujhe Kar Diya Gani " Saiyed "
Mai Sadke Jaoon Mere,Jog Ke Gareeb Nawaz.

(Rehmatullah Ta'ala Alaih)

Manqabat - TERA NAAM KHWAJA MOINUDDIN

Tera naam khwaja moinuddin tu rasool e paak ki aal hai...
Teri shaan khawaja e khwajgaan tujhe bekasoon ka khyaal hai...

Mera khwaja ataa e rasool hai...
Wo bahar e chisht ka phool hai...
Wo bahar e gulshan e fatima...
Chaman e ali ka nihaal hai!!!

Main gda e khwaja e chisht hun...
Mujhe is gadai pe naaz hai...
Mera naaz khwaja pe kyun na ho...
Mera khwaja banda nawaaz hai!!!

Yahan bheek milti hai be gumaan...
Ye bade sakhi ka hai aastaan...
Yahan sab ki bharti hain jholiyan...
Ye dar e gareeb nawaaz hai!!!

Mera bigda waqt sanwaar do...
Mere khwaja mujhko nawaaz do...
Teri ik nigaah ki baat hai...
Meri zindagi ka sawaal hai!!!

Sabke Hajat  Rawa Garib Nawaz
Har Maraj Ki Sifa Garib Nawaz

Gamzado Ne  Kaha Garib Nawaz
Bekaso Ki Sada Garib Nawaz

Har Wo Sahil Murad Pata Hai
Jo Bhi Kehata Ya Garib Nawab

Tere Darpar Jabi Jukate Hain
Hind Ke Oliya Garib Nawaz

Jinka Koy Nahi Zamane Main
Unka Hain Aasra Garib Nawaz

Khake Ajmer Khub Hai 'khaki'
Chum Le Keh Ke Ya Garib Nawaz

Mil gaya dar tera Garib Nawaz
Ab toh hoga bhala Garib Nawaz
Martaba aapka Garib Nawaz
Marhaba Marhaba garib Nawaz

Haath failaye sab gadah hai khade
Bheek kar do ata Garib Nawaz
Kya bigadege yeh jahan waale
Tu hai haami mera Garib Nawaz

Mere Aaqa ne bhi tumhe chaha
Wah kya martaba Garib Nawaz
Humko darkaar hai zamane me
Bas tera aasra hai Garib Nawaz

Mai hu beemar teri chahat ka
Tu hai meri dawa Garib Nawaz
Meri toofan me fass gayi kashti
Paar isko laga Garib Nawaz

Mustafa mil gaye tere sadqe
Mil gaya ab Khuda Garib Nawaz
Jab bhi mushkil me tumko yaad kiya
Hausla mil gaya Garib Nawaz

Aap ho Mustafa ke dil ke kareeb
Mustafa ki ataa Garib Nawaz
Tujhme khusbu hai mere Aaqa ki
Har wali ne kaha Garib Nawaz

Zakhm jitney diye zamane ne
Sabki kar do dawa Garib Nawaz
Meri hai iltija mere Aaqa
Ho bhala hind ka Garib Nawaz

Zaat o Mazhab ka fark jaane bina
Karte sabka bhala Garib Nawaz
Koi apna nahi zamane me
Ek tere siwa Garib Nawaz

Mere kuch bhi kahe bina tumne
Haal e Dil sunn liya Garib Nawaz
Kitni aasaaniyo se har mushkil
Door karte ho Ya Garib Nawaz

Tumse nisbat hai is Saakib ki bhi
Laaj rakh lena Ya Garib Nawaz


Manqabat on Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Moinuddin Hassan Chishty RadiaAllahu anhu

Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera 
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera

Khuftgane Shabe Ghaflat Ko Jaga Deta Hai
Saalhasaal Wo Raato Ka Na Sona Tera

Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera

Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Ay Abre Karam Zor Barasna Tera

Kya Mahak Hai Ki Mu'attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta E Gulshan E Firdaus Hai Rouza Tera

Tujhme Hai Tarbiyate Khizr Ke Paida Aasaar
Bahro Bar Me Hume Milta Hai Sahara Tera

Zille Haq Ghous Pe Hai Ghous Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sare Khuddam Pe Saaya Tera

Tujhko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan E Rafe'a
Dang Rah Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera

Kyo Na Baghdad Me Jaari Ho Tera Chashma E Faiz
Bahre Baghdad Hi Ki Nahar Hai Dariya Tera

Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera

Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai

Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera

No comments