Ajmer Sharif Urs Mubarak - Manqabat e Khwaja Garib Nawaz

Share:
Ajmer Sharif Urs Mubarak - Manqabat e Khwaja Garib Nawaz

Naat Lyrics, Manqabat Lyrics, Gareeb Nawaz Urs Mubarak

Quicklinks
1) Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz
2) Tera Naam Khwaja Moinuddin
3) Mil gaya dar tera Garib Nawaz
4) Chasme karam ki baat hai Khwaja
5) Khawaja E Khawajgan Haami E Bekasa


1) Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz
This Kalam Written By Huzur Mohaddis e Aazam e Hind Rahmatullah Alaihi



Gareeb Aaye Hai Dar Par Tere Gareeb Nawaz ,
Karo Gareeb Nawazi Mere Gareeb Nawaz.

Tumhare Dar Ki Karamat Yeh Baraha Dekhi Humne,
Aaye The Gareeb Aur Ho Gaye Gareeb Nawaz.

Tumhari Zaat Se Mera Bada Talluq Hai ,
Ke Mai Gareeb Bada Tum Bade Gareeb Nawaz.

Laga Ke Aas Badi Door Se Mai Aaya Hoon,
Musafiroon Pe Karam Kijiye Gareeb Nawaz.

Huzoor Ashraf-e-Simna Ke Naam Ka Sadka,
Hamari Jhooli Ko Bhar Dijiye Gareeb Nawaz.

Na Mujh Sa Koi Gada Hai Aur Na Tum Sa Koi Karim
Na Dar Se Uthunga ,Be Kuch Liye Gareeb Nawaz.

Zamane Bhar Se Mujhe Kar Diya Gani " Saiyed "

Mai Sadke Jaoon Mere,Jog Ke Gareeb Nawaz.

2) Tera Naam Khwaja Moinuddin


Tera Naam Khwaja Moinuddin
Tu Rasool E Paak Ki Aal Hai
Teri Shaan Khawaj E Khwajgan
Tujhe Bekaso Ka Khayaal Hai

Mera Bigda Waqt Sawar Do
Mere Khwaja Mujhko Nawaz Do
Teri Ek Nigaah Ki Baat Hai
Meri Zindagi Ka Sawal Hai

Main Ghada E Khwaja E Chist Hu
Mujhe Is Ghadai Pe Naaz Hai
Mera Naaz Khwaja Pe Kyun Na Ho
Mera Khwaja Banda Nawaaz Hai

Mera Khwaja Ataa E Rasool Hai
Woh Bahaar E Chisht Ka Phool Hai
Woh Bahar E Gulshan E Fatima
Chaman E Ali Ka Nihaal Hai

Yaha Bheek Milti Hai Be Guma
Yeh Bade Sakhi Ka Hai Aastan
Yaha Sab Ki Bharti Hai Jholiya
Yeh Dar E Garib Nawaz Hai

Tera Naam Khwaja Moinuddin
Tu Rasool E Paak Ki Aal Hai
Teri Shaan Khawaj E Khwajgan
Tujhe Bekaso Ka Khayaal Hai

3) Mil gaya dar tera Garib Nawaz



Mil gaya dar tera Garib Nawaz
Ab toh hoga bhala Garib Nawaz

Martaba aapka Garib Nawaz
Marhaba Marhaba garib Nawaz

Haath failaye sab gadah hai khade
Bheek kar do ata Garib Nawaz

Kya bigadege yeh jahan waale
Tu hai haami mera Garib Nawaz

Mere Aaqa ne bhi tumhe chaha
Wah kya martaba Garib Nawaz

Humko darkaar hai zamane me
Bas tera aasra hai Garib Nawaz

Mai hu beemar teri chahat ka
Tu hai meri dawa Garib Nawaz

Meri toofan me fass gayi kashti
Paar isko laga Garib Nawaz

Mustafa mil gaye tere sadqe
Mil gaya ab Khuda Garib Nawaz

Jab bhi mushkil me tumko yaad kiya
Hausla mil gaya Garib Nawaz

Aap ho Mustafa ke dil ke kareeb
Mustafa ki ataa Garib Nawaz

Tujhme khusbu hai mere Aaqa ki
Har wali ne kaha Garib Nawaz

Zakhm jitney diye zamane ne
Sabki kar do dawa Garib Nawaz

Meri hai iltija mere Aaqa
Ho bhala hind ka Garib Nawaz

Zaat o Mazhab ka fark jaane bina
Karte sabka bhala Garib Nawaz

Koi apna nahi zamane me
Ek tere siwa Garib Nawaz

Mere kuch bhi kahe bina tumne
Haal e Dil sunn liya Garib Nawaz

Kitni aasaaniyo se har mushkil
Door karte ho Ya Garib Nawaz

Tumse nisbat hai is Saakib ki bhi
Laaj rakh lena Ya Garib Nawaz
(Rehmatullah Alaih)

4) Chasme karam ki baat hai Khwaja


Chasme karam ki baat hai Khwaja
Kya meri aukaat hai Khwaja

Jiski badaulat sab palte hai
Woh teri khairaat hai Khwaja

Sab ko mile ek jaam karam ka
Saavan ki barsaat hai Khwaja

Tum hi meri laaj rakhoge
Ishq nedamat shad hai Khwaja

Mere aasu unka daman
Yeh nisbat ki baat hai Khwaja

Khali jholi bhar jayegi
Ek nazar ki baat hai Khwaja

Jiss ko buzurgo se nisbat hai
Woh rahbar ki zaat hai Khwaja

5) Khawaja E Khawajgan Haami E Bekasa


Khawaja E Khawajgan Haami E Bekasa
Iljita Sun Lo Shaahe Umam Ke Liye

Hai Tumhari Talab Haasil E Bandagi
Is Se Badh Kar Nahi Hai Ibadat Koi
Mere Sajde Hai Aye Khwaja Hindal Wali
Bas Tumhare Hi Naqshe Qadam Ke Liye

Noore Shaahe Najaf Mere Khwaja Piya
Tere Chaukhat Pe Waliyo Ne Sajda Kiya
Khaaliqe Do Jahaan Se Ye Rutba Mila
Tere Darbaar Faizo Karam Ke Liye

Shaahe Ajmer Mera Maseeha Hai Tu
Dard Mandoon Ke Dukh Ka Madaawa Hai Tu
Teri Nisbat Ka Daaman Rahe Haath Me
Bas Dawaa Hai Yahi Ranjo Gham Ke Liye

Thaam Na Haath Aye Sayyade Meherbaan
Hai Tera Kaam Khwaja Khata Poshiya
Laaj Rakhna Fana Ki Moine Jahaan
Hashr Me Tajdaare Haram Ke Liye


No comments