Allah Ki Rahmat Ko Samete - Ramadan Special Naat with Lyrics

Share:

 "Allah Ki Rahmat Ko Samete" is more than just a naat; it is a spiritual journey that encapsulates the essence of Ramzan. Through its verses, it invites believers to embrace the mercy of Allah, find solace in the Quran, and celebrate the blessings of Ramzan. As we listen to or recite this naat, let us remind ourselves of the opportunity Ramzan presents for spiritual growth, self-discipline, and reconnection with our Creator. In the end, it is a call to recognize and cherish the divine mercy that envelops us, not just in Ramzan but throughout our lives.


Allah Ki Rahmat Ko Samete

Saath Liye Quraan

Aaya Hai Ramza

Ramzan Ramzan Hai Sabka Ramzan


Allah Allah Allah Hu Allah, Allah Allah Allah Hu Allah


Sarey Gunahon Se Ye Bachaaye

Aata Hai Jab Bhi Ramzan

Be-Saakhta Dil Sajde Me Jaye

Aata Hai Jab Bhi Ramzan



Hamd-O-Sana Aur Naat Manaqib

Aur Badhaye Shan


Aaya Hai Ramzan

Ramzan Ramzan Hai Sabka Ramzan


Allah Allah Allah Hu Allah, Allah Allah Allah Hu Allah


Kya Main Bataun Ye Ramzan Hai

Rab Ki Ata Ka Shahkaar

Pabandiyon Me Bhi Nematein Hain

Yaani Ki Sahr-O-Iftaar

Chhote Bade Sab Ek Jagah Hain

Bichh Gaya Dastarkhan


Aaya Hai Ramzan

Ramzan Ramzan Hai Sabka Ramzan


Allah Allah Allah Hu Allah, Allah Allah Allah Hu Allah


Apne Paraye Ya Ham-Saaye

Jiska Jo Haq Hai De Do

Khalk E Khuda Par Tum Raham Khaao

Phir Us Se Raham Mango

Sach Puchho To Hamko Banaye

Ek Achha Insaan


Aaya Hai Ramzan

Ramzan Ramzan Hai Sabka Ramzan


Allah Allah Allah Hu Allah, Allah Allah Allah Hu Allah


Allah.... Aaaa


Ae Khuda Ae Khuda Main Pareshan Hun

Apne Aamal Pe Main Pashe Maan Hun

Ye Nidamat Ke Aansu Bichhaaye Huye

Tere Darbar Me Sar Jhukaye Huye

Jaanta Hun Main Kitna Gunahgar Hun

Teri Rahmat Ka Phir Bhi Talab Gaar Hun

Tere Bandon Se Maine Mohabbat Na Ki

Jaisi Tu Chahta Tha Ibadat Na Ki


Bakhsh De Har Khata Bas Ye Armaan Hai

Main Hun Jaisa Bhi Tu To Rahman Hai

Chhor Ke Duniya Rab Ko Mana Lo

Mazhar Aur Farhan


Aaya Hai Ramzan

Ramzan Ramzan Hai Sabka Ramzan


Allah Allah Allah Hu Allah, Allah Allah Allah Hu Allah

No comments