Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai | Junaid Sheikh Attari

Share:

 "Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai" is a naat that beautifully captures the essence and anticipation of the holy month of Ramadan, recited by Junaid Sheikh Attari. This naat, with its profound lyrics, celebrates the divine blessings and mercy that are abundantly bestowed upon believers during Ramadan.



Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai

Hui Mola Ki Rahmat Maah-e-Ramzan Aane Wala Hai


Mah-e-Ramzañ, Mahe Ghufrañ, Mah-e-Sub’hañ, Maah-e-Ramzañ

Khuleñge Baabe Jannat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Masajid Hongi Phir Aabad Shaitan Jal Mare Naashaad

Mile Momin Ko Farhat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Dil-e-Maghmoom Phir Ik Baar Khushiyoñ Se Hua Sarshar

Hui Haasil Masarrat Maah-e-Ramzañ Aane.


Khushi Se Jhoomta Hai, Dil Machi Hai Qalb Me Halchal

Mile Aashiq Ko Farhat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Tarabeeh Aur Namazoñ Me Kami Hogi, Na Rozoñ Me

Karo Milkar Ye Ni’at Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Ilahi Aafiyat Dena, Salamat Dil Ata Karna

Ata Kar De Tu Sehat, Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Maiñ Ramzanul Mubarak Pauñ, Roze Sare Rakh Pauñ

Tu Rakh Zinda Salamat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Nabi Ke Ishq Me Rouuñ Madine Ke Liye Tadpuñ

Khuda De Shoz-o-Riqqat Mah-e-Ramzañ Aane Wala.


Rahun Qayim Maiñ Touba Par, Khudaya Fazl Aisa Kar

Gunahoñ Se De Nafrat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Khuda Aisi Inayat Kar Main Kaañpuñ Khauf Se Thar Thar

Ho Isyañ Se Hifazat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Ibadat Me, Riyazat Me, Duroodoñ Me, Tilawat Me

Ilahi De de Lazzat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Muhammad Mustafa ﷺ Ka Wasta, Tu Bakhsh De Mola

Ata Kar Bagh-e-Jannat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Khuda Attar Ki Bakhshish Tu Farma De Bila Purshish

Tufaile Aala Hazrat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Khuda Ki Hai Inayat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai

Hui Mola Ki Rahmat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai


Recited by: Junaid Sheikh Attari

No comments