Friday, February 28, 2025

700 Saal Ki Namaz Ka Kaffara (Qaza Namazo Ka Kaffara)

Kya Qaza Umri Namazon Ka Koi Kaffara Hai? Kya 700 Saal Ki Namaz Ka Kaffara hai? Taraweeh Ki Namaz ke Jagah Kaaja pad Sakte hai? Ramazan Ke akhire jumme mein 4 rakat padne se,  700 Saal ki Namaz maaf ho jayenge? Kya ye sach hai

Bohut se logon mein yeh ghalat fehmi paayi jaati hai ke ek aisi namaz ya tareeqa hai jo umar bhar ki chhooti hui namazon ka kaffara ban sakta hai. Magar yeh aqeeda bilkul ghalat hai aur iski koi buniyad nahi hai. Shariyat mein aisi koi namaz nahi jo aapki saari qaza namazon ko maaf kar sake, chaahe wo do rakat ho ya umar bhar ki namazain ho.

Qaza Namazon Ka Asal Hukm

Jo farz namazain aur witr chhoot gaye hain, unka kaffara sirf aur sirf unhein qaza karke hi ada karna hoga. Yeh namazain aapke zimmedaari hain aur inhein sirf ada karne se hi inki zimmedaari khatam hogi. Koi bhi aur tareeqa in qaza namazon ki adaigi ya kaffara nahi ban sakta.

Hadees-e-Nabwi Se Dalil

Rasool Allah ﷺ ka farman hai:
"Jo namaz bhool jaye ya kisi wajah se chhoot jaye, to jab yaad aaye usay ada kar le. Uska kaffara sirf usay ada karne se hi hoga."
Yeh hadees Musnad-e-Imam Ahmad bin Hanbal (Hadees No. 13848), Bukhari Sharif (Hadees No. 597), Muslim Sharif (Hadees No. 314/684) aur Sunan Abu Dawood (Hadees No. 442) mein mojood hai.

Jumaat-ul-Wida Mein Qaza Umri Namaz Ka Aqeeda

Kuch log yeh samajhte hain ke Jumaat-ul-Wida (Ramzan ke aakhri jumme) mein ek khaas tareeqa se namaz padhne se 70 saal ki qaza namazon ka kaffara ho jata hai. Lekin yeh riwayat bilkul ghalat hai kyunke yeh ijma (muslim ummah ka ittifaq) aur shariyat ke usool ke khilaf hai.

Imam Allaama Ali Qari ne apni kitaab "Al-Asrar wal Marfoo'a fil Akhbaaril Mawdu'aa" mein is riwayat ko baatil qarar diya hai kyunke ibadat mein kuch bhi aisa nahi jo chhooti hui ibadat ki jagah le sake.

Qaza Namazon Ka Asal Tareeqa

  • Chhooti hui farz namazain sirf unhein qaza karne se hi ada hongi.
  • Chhooti hui zakat sirf usay ada karne se hi ada hogi.
  • Chhoote roze sirf unhein rakhne se hi ada honge.

Koi bhi nafal namaz ya doosri ibadat in chhooti hui farz ibadaton ka badal nahi ban sakti.

Jumaat-ul-Wida Mein 12 Rakat Nafl Ka Masla

Mufassir-e-Quran, Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi apni kitaab "Islami Zindagi" mein likhte hain ke kuch log Jumaat-ul-Wida ke din Zohr aur Asr ke darmiyan 12 rakat nafl namaz is niyat se padhte hain ke saari umar ki qaza namazon ka kaffara ho jaye. Lekin yeh bilkul ghalat hai.

Unka kehna hai:

  • Yeh namaz padhne se sirf waqt par na padhne ka gunaah maaf ho sakta hai, magar qaza namazon ka farz ada nahi hoga.
  • Qaza namazon ki zimmedaari sirf unhein ada karne se hi khatam hogi.

Agar kisi se farz namazain chhoot gayi hain to unhein sirf qaza karke hi ada kiya ja sakta hai. Koi aur tareeqa ya nafal namaz unki jagah nahi le sakti. Isliye har musalmaan ko chhooti hui namazon ki qaza ka ehtemaam karna chahiye taake wo apne zimmedaari se azaad ho sake.




Post your Comments

Upcoming Islamic Events

Islamic 2026 Event Name English Date Islamic Date
Lailat al-Miraj (Shab-e-Meraj) January 16, 2026 - Friday 27 Rajab 1447
Shab-e-Barat February 3, 2026 - Tuesday 15 Sha'ban 1447
Start of Fasting Month (Ramadan) February 19, 2026 - Thursday 1 Ramadan 1447
Lailat al-Qadr (Shab-e-Qadr) March 17, 2026 - Tuesday 27 Ramadan 1447
Jummat-ul-Wida March 20, 2026 - Friday 30 Ramadan 1447
Eid-ul-Fitr March 21, 2026 - Saturday 1 Shawwal 1447
#Hajj (Day of Arafah) May 26, 2026 - Tuesday 9 Dhul-Hijjah 1447
Eid-ul-Adha (Bakrid) May 27, 2026 - Wednesday 10 Dhul-Hijjah 1447
Islamic New Year June 17, 2026 - Wednesday 1 Muharram 1448
Yaum al-Ashura June 26, 2026 - Friday 10 Muharram 1448
Eid Milad-un-Nabi August 26, 2026 - Wednesday 12 Rabi-al-Awwal 1448
Urs Khwaja Gharib Nawaz, Ajmer Sharif December 11-19, 2026 Rajab 1448
Islamic 2027 Event Name English Date Islamic Date
Lailat al-Miraj (Shab-e-Meraj) January 5, 2027 - Tuesday* 27 Rajab 1448
Shab-e-Barat January 24, 2027 - Sunday* 15 Sha'ban 1448
Start of Fasting Month (Ramadan) February 9, 2027 - Tuesday* 1 Ramadan 1448
Lailat al-Qadr (Shab-e-Qadr) March 7, 2027 - Sunday* 27 Ramadan 1448
Jummat-ul-Wida March 5, 2027 - Friday* 25 Ramadan 1448
Eid-ul-Fitr March 10, 2027 - Wednesday* 1 Shawwal 1448
#Hajj (Day of Arafah) May 16, 2027 - Sunday* 9 Dhul-Hijjah 1448
Eid-ul-Adha (Bakrid) May 17, 2027 - Monday* 10 Dhul-Hijjah 1448
Islamic New Year June 7, 2027 - Monday* 1 Muharram 1449
Yaum al-Ashura June 16, 2027 - Wednesday* 10 Muharram 1449
Eid Milad-un-Nabi August 15, 2027 - Sunday* 12 Rabi-al-Awwal 1449
* 2027 Islamic dates are tentative and may vary by one day depending on local moon sighting.