Showing posts with label Muharram-ul-Haram. Show all posts
Showing posts with label Muharram-ul-Haram. Show all posts

Tuesday, October 11, 2016

Yaum e Ashura ke Khusoosiyat - 10 Muharram-ul-Haram Importance

Yaum e Ashura ke Khusoosiyat - 10 Muharram-ul-Haram Importance

Khusoosiyat-e-Yaume Ashura (10 Muharram-ul-Haram)


Ashura ke din bahut se batein maqsoos hai, unme se chand ye hai:

1) Ashure ke din hi Hazrat-e-Adam Alaihissalaam ko paida kiya gaya, Usi din unhe Jannat me dakhil kiya gaya, Usi din unki touba qubul ki gayi.

2) Ashure ke din hi Arsh, Kursi, Aasman, Zameen, Suraj, Chaand, Sitare, Aur Jannat paida kiye gaye.

3) Ashure ke din hi Hazrat-e-Ibrahim Alaihissalaam paida huye, Usi din unhe Aag se naja’at mili.

4) Ashure ke din hi Hazrat-e-Musa Alaihissalaam aur Aap ki ummat ko fira’oun se naja’at mili aur usi din fira’oun apni qaum sameth garq huwa.    

5) Ashure ke din hi Hazrat-e-Isa Alaihissalaam paida huye aur usi din unhe Aasman ke taraf uthayagaya.

6) Ashure ke din hi Hazrat-e-Nooh Alaihissalaam ki kashti kohe joodi (joodi pahad) per ruk gayi.

7) Ashure ke din hi Hazrat-e-Yunus Alaihissalaam machli ke pet se nikale gaye.

8) Ashure ke din hi Hazrat-e-Yaqoob Alaihissalaam ki binaayi lautayi gayi.

9) Ashure ke din hi Hazrat-e-Yusuf Alaihissalaam gehere kunwe se nikale gaye.

10) Ashure ke din hi Aasman se zameen per sab se pehle barish nazil hoyi.    

11) Ashure ke din ka roza MAHE-RAMZAN se pehle farz tha phir mansooq kardiyagaya aur  Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne hijrat se pehle uss din ka roza rakha tha. 

12) Ashure ke din hi Imam-e-Hussain Radiallaahu ta’ala anhu aur unke rufaqa ne maidane karbala me jaame shahadath noosh farmakar haq ke parcham ko sarbuland farmaya. 

Ashure ke din karne wale kaam:

1) Shab-e-Ashure ki nafil Namaz: Ashure ki raat me 4 rakaat nafil namaz iss tarteeb se padhe, Har rakaat me Sura-e-Fateha ke baad, Aayatul kursi ek baar aur Sura-e-Ikhlaas 3 baar padhe aur Namaaz se faarig hokar, 100 martaba Sura-e-Ikhlas padhe, Gunahoun se paak hoga aur jannat me behisaab niymatein milengi.

2) Ashure ke Roze: 9,10 ya 10,11 Muharram, 2 din ke roze rakhna chahiye aur agar na hosake toh  Ashure hi ke din Roza rakhe. Shahi Muslim me Abu Qadada Radiallaahu ta’ala anhu se marvi hai Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam farmate hai ke “ Mujhe Allah azzawajal per gumaan hai ke Ashure ka roza ek saal qabl ke gunah mitadeta hai”.

3) Sadqa karna: Ashure ke din me 1 dirham ka sadqa 7 lakh dirham ke barabar hai. 
[Yani 1 rupiya sadqa karna 7 lakh rupiye ke barabar hai]

4) Risq me Us’at(Kushadgi): Jisne apne gharwalon aur Ahl-wa-Ayal per us’at ki Allah azzawajal uske poore saal me us’at aur barkat ata farmata hai.

5) Gusl karna: Jisne Ashure ke din Gusl kiya woh uss saal bimar hone se mehfuz rahega.   

6) Surma lagana: Jisne Ashure ke din Surma lagaya woh uss saal Ankh dukhne se mehfuz rahega.

7) Mareez ki iyadat karna: Mareez ki iyaadat ko jana sunnath hai aur jo achchi tarha wazu karke sawab  ki niyyat se apne musalman bhai ki iyadat ko jaye toh jahannam se 60 baras ki raah door kardiya jayega.         

8) Dushman se milaap karna: Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaya, “Jo Shaks logon ke darmiyan sulah karega, Allah azzawajal uska mamilah durust farmadega aur usse har kalima boolne per ek gulam azad karne ka sawab ata farmayega aur woh jab lautega toh apne pichle gunahoun se magfirat ya fatah hokar lautega”.

9) Dua-e-Ashura padhna: 10vi muharram ko Dua-e-Ashura padhne se umr me khair-o-barkat aur zindagi me falaah-o-niyamath hasil hogi.

Click here to Read Dua-e-Ashura

10) Khichda pakana: Ashure ke din Khichda pakana Hazrat-e-Nooh Alaihissalaam ki sunnath hai, Jab tufaan se naja’at pakar Hazrat-e- Nooh Alaihissalaam ki kashti joodi pahad per ruki toh Ashure ka din tha, Aap Alaihissalaam ne kashti me se tamaam anaaj ko baahar nikala, aur fool (bada matar), gehoun, joo, masoor, chana, chawal, pyaaz 7 qism ka galla maujood tha, Aap Alaihissalaam ne unn saat cheezon ko ek hi handi me milakar pakaya tha.

11) Ulama ki ziyarat karna aur Yateem bachchon ke sar per haath pherna: Hadis me hai, Jo shaks yateem ke sar per Allah azzawajal 
ki raza ke liye haath pherta hai toh jitne baalon per uska haath guzrega har baal ke muqabil me uske liye nekiyan hai aur jo shaks yateem per yehsaan kare mai (Sarkar-e-Madina Swallalaahu alaihi wasallam) aur woh (Yateem per yehsaan karne wala) jannat me (2 ungaliyoun ko milaakar farmaya) istarha honge.

12) Zikr-e-Shahadat karna: Zikr-e-Shahadat ka maqsad, unn waqiyaat ko sunkar ibrath hasil karna ho, aur saath hi saath swaliheen ke  zikr ki barkat hasil karna hai, Rone aur rulane keliye waqiyaate Karbala bayan karna najayiz-o-gunah hai, 

Muharram me na karne wale Amal

1) Taziyadari: Taziyadari aur uske saath honewale tamaam bid’atein wa qulafatein najayiz-o-gunah hai, maslan Matam karna, Taziya par chadawe chadana, Unke samne khane rakh kar waha fateha dilana, Unse mannatein mangna, barkat hasil karne keliye bachchon ko Unke niche se nikaalna, Taziya dekhne ko jana, Unhe taazim se salam karna inn sab kaamo ka mazhabe islam me koyi wasta nahi.

2) Imam-e-Hussain Radiallaahu ta’ala anhu ke naam par bachchon ko fakir banaya jata hai aur uske gale me jhooli dalkar ghar ghar usse bheek mangwate hai, ye bhi najayiz-o-gunah hai.

3) Ashura-e-Muharram me 3 rang ka libas se bachein, ye soog ke alamatein hai. 1: Siya (kaala), 2: Sabz (hara), 3: Surkh (Laal).

4) Ashure ke 10 din kapde na badalna, chappal na pehenna, din me rooti na pakana, jhadu na lagana, 
mahe Muharram me shadi biyah ko bura samajna sab fuzul batein aur jahaliyath hai.  

Reference (Hawala): 
Mukaashafa-tul-Qulub, Jannati Zewer, Bahar-e-Shariat,

Monday, October 3, 2016

HAZRAT E IMAAM HUSSAIN - Biography - Part1

HAZRAT E IMAAM HUSSAIN - Biography - Part1

HAZRAT E IMAAM HUSSAIN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه

Complied through the blessings of: Ghaus-ul-Waqt Huzoor Mufti-e-Aazam Hind رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه

By a humble servant of ALLAH:Muhammad Afthab Cassim Razvi Noori

#Part: ONE

🎆GLORIOUS BIRTH🎆

Hazrat e Sayyiduna IMAAM HUSSAIN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه is the beloved son of Sayyiduna Ali and Bibi Fatima رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها. And the most beloved grandson of Aaqa-e-Do Aalam, Noor-e-Mujassam, Ahmad-e-Mujtaba, Muhammad Mustafa ï·º. Hazrat IMAAM HUSSAIN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه was born on the 5th of Shaabaanul Muazzam in the  year 4 Hijri. After his birth, his milk mother was Ummul Fadhl Bint Haaritha, the wife of Hazrat Abbas bin Abdul Mutalib رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه.

The Holy Prophet ï·º gave Azaan in his right ear and the taqbeer [Iqaamat] in his left ear. The beloved RASOOL ï·º then placed his blessed saliva [Lu'ab-e-Dahan] into the blessed mouth of Hazrat IMAAM HUSSAIN ï·º and made Du'a for him. On the seventh day, He was named HUSSAIN and his Aqeeqa was made. The prophet ï·º commanded Bibi Fatima رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰعنها to remove his hair and to give silver in charity equivalent to the weight of hair, as it had been done for IMAAM HASSAN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه.

Hazrat IMAAM HUSSAIN رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه was without doubt a very handsome personality. From his chest up to the blessed feet, he was the picture of the Prophet ï·º. He was so handsome and radiant, that anyone who saw him become lost in his beauty. His blessed face was so bright, that it would even shine in the darkness of night.
Dua on Start of New Year - Naye Saal ki Dua

Dua on Start of New Year - Naye Saal ki Dua

After Sighting the New Moon Of the Islamic New year make Dua by Reading This
Allahumma Adkhilha Alaina Bil-Amni Wal-Imaan Was Salaamati Bil-Islam Wa Rizwanim Minar Rahmaan Wa Jiwarim Mina-sh Shaitaan 
Ya Allah! isko hum par amn-o-Imaan aur Salaamati ke saat Rahman ki Khusnuudi aur Shaitaan se Hifazat ke Saat laaiye



Dua on Start of New Year - Naye Saal ki Dua - Happy New Year Dua

Muharram Namaz, Muharram Dua and Muharram Bayans

Muharram Namaz, Muharram Dua and Muharram Bayans

Muharram Namaz, Muharram Dua and Muharram Bayans

We bring you Special Coverage on Muharram ul Harram. All the information on Namaz, Salat, Dua, First day of Muharram Dua, Dua e Ashura, History of Muharram, Bayan, Speeches on Karbala by our Renowed Islamic Scholoars

Articles on Muharram

  1. Muharram Namaz - Dua-e-Ashura | Prayers for Ashura
  2. Dua-e-Ashoora (10th Muharram Youm-E-Ashura Dua) and Namaz
  3. Muharram First Day Dua | Islamic New Year Dua
  4. Yaum E Ashura (10 Muharram) Ki Fazilat - Day of Ashura Importance
  5. Important things to do in Yaume Ashura (10 Muharram-ul-Haram)
  6. Significance of YOUM -E-ASHURA 1OTH MUHARRAM
  7. Dua E Ashura with English Transliteration

Watch Our Videos On Muharram

Sunday, October 2, 2016

Muharram First Day Dua | Islamic New Year Dua

Muharram First Day Dua | Islamic New Year Dua

Muharram First Day Dua | Islamic New Year Dua

This Dua / Supplication is to read on sighting of Moon of Muharram Month. This dua has very high blessing. Below is the Dua for start of hijri year. 


Islamic New Year Dua - Muharram First Day Special Dua in English



Allahumma Antal Abadiyyul Qadeem, Wa Haazihi Sanatun Jadeedatun, As'aluka Feehal 'Ismata Minash Shaytaan wa Awliya'i,
wa La'awna wa La Haazil Nafsil Ammarati bus Soo' wal Ishtighaala bimaaa Yugharribuni, Ya Kareem!

O Allah! You are the everlasting and eternal One, and this is the new year. 
I am supplicating to you for Protection and safety from the devil and his companions,
and seek help and victory against those who command to do evil against the soul.
I ask for help in remaining busy in deeds which will bring me closer to You, O Merciful Lord.

The Merits of this supplication is that one who recites this after sighting the moon of Muharram, Shaitan says. "Alas! We are hopeless against this person." Allah Ta'alaa points to Angels over the person who recites this, who safeguard and protect him throughout the year.


Muharram First Day Dua Video



Islamic New Year Dua - Muharram First Day Special Dua in Arabic



Post your Comments

#Islamic Calendar 2025 Events

Islamic 2025 Event Name English Date Islamic Date
Urs Haji Malang January 2, 2025 - Thursday 10 Jumada al-Akhirah 1446
Urs Haji Ali Baba Mumbai January 4, 2025 - Saturday 12 Jumada al-Akhirah 1446
721st Urs Sharif Of Hazrat Khwaja Syed Nizamuddin Aulia Mehboob-e-Elahi Rahmatullah Alayh January 7, 2025 - Tuesday 15 Jumada al-Akhirah 1446
Urs Khwaja Gharib Nawaz, Ajmer Sharif March 24, 2025 - Monday 22 Sha'ban 1446
Lailat al-Miraj (Shab-e-Meraj) January 27, 2025 - Monday 27 Rajab 1446
Shab-e-Barat February 14, 2025 - Friday 15 Sha'ban 1446
Start of Fasting Month (Ramadan) March 1, 2025 - Saturday 1 Ramadan 1446
Lailat al-Qadr (Shab-e-Qadr) March 27, 2025 - Thursday 27 Ramadan 1446
Jummat-ul-Wida March 28, 2025 - Friday 28 Ramadan 1446
Eid-ul-Fitr March 30, 2025 - Sunday 1 Shawwal 1446
#Hajj June 6, 2025 - Friday 9 Dhul-Hijjah 1446
Eid-ul-Adha (Bakrid) June 7, 2025 - Saturday 10 Dhul-Hijjah 1446
Islamic New Year July 28, 2025 - Monday 1 Muharram 1447
Yaum al-Ashura August 6, 2025 - Wednesday 10 Muharram 1447
Eid Milad-un-Nabi September 26, 2025 - Friday 12 Rabi-al-Awwal 1447