Qabr aur Mazaar Ke Adab aur Kya Aurat ka Qabr Jaana Jaiz Hain?

Share:
Qabr aur Mazaar Ke Adab aur Kya Aurat ka Qabr Jaana Jaiz Hain?

Qabr ke Adab kya hain? Kya Aurat #Qabar aur #Mazaar par jaa sakti hain? Kya Aurat #Dargah par jaa sakti hain. 

Huzur #Muhammad Sallahu Alaihi wa Salam ne Qabr or Mazar par jaane ki Izzajat di hain kyun ki #Qabr Akhirat ki Yaad dilati Hai.

Aur Wahi Auraton ka jaana mana farmaya gaya hain.

#Mufti Amjad Ali Azmi ﺖﻤﺣﺭ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻟﺎﻌﺗ ﮧﯿﻠﻋ farmatey hain "Salamti ka rasta yehi hai k auraton ko MAZAAR per janey sey mutlaqan mana kia jai k apno ki qabron per jaian gi tou roona peetna karain gi, aur Saleheen ki qabron per jaian gi tou tazeem main hud sey ziada berh jaian gi yan phir beyadbi karain gi, aur auraton main yeh dono batain kasrat sey pai jati hain".

(Bahar-e-Shariat, Volume:1, Page:849)

AALA Hazrat ﺖﻤﺣﺭ ﮧﻠﻟﺍ ﯽﻟﺎﻌﺗ ﮧﯿﻠﻋ sey auraton k qabr per janey sey related sawal hua tou fermaya:

"Yeh na poocho k aurat ka qabr per jaana jaiz hai yan najaiz, bal k yeh poocho ager wo mazar per jati hai tou us per kitni lanat  perhti hai, jub gher sey qabr per janey ka irada kerti hai tou ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ aur es k farishty es per lanat kerty hain. 

Jab gher sey bahir nikalti hai her taraf sey Shaitaan esko gheer leita hai.

Jab qabr per pohanchti hai maiyat ko roh es per lannat kerti hai, jub tak wapis aati hai ALLAH ﻞﺟﻭﺰﻋ ki lanat main hoti hai".

(Fatawa #Razavia, Volume:9, Page:557)

Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Alaihe Rahma farmate hain "Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane Ke Liye) Ghar Se Irada Karti He La'nat Shuru
Hojati He Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La'nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza e Rasool SalAllaho alaihe wasallam Ke Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, K Wo Zarya e Magfirat Hai"
(Malfuzat P#240)

Mazar Pe Haazri Ka Tariqa:

Ala hazrat farmate hain "Paainti (Qadmon) Ki Taraf Se Jaaye, Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Faasley Par Mawajeh Pr Khara Ho, Ba Adab Salam Arz Karey.

3 Baar Alhamd Sharif, 1 Martaba Ayat ul Kursi, 7 Martaba Sura e Ikhlas Tilawat Karey.
(Fatawa Razawiya 9/522)

In aurato ke aise muqaddas maqamat par aane ki wajh se ye maqamat bhi khuraafat wa
behudgi ka adda bante ja rahe hain.

Aur kamaal ye hai ki auraten sawab samajh kar mazaro pe hazir hoti hain. Yaqeenan mardo ka buzurgo ke mazaro pe hazir hona khush aqeedgi ki alamat hai. Aur bayise husule khair O barkat bhi. Lekin aurato ka jana na jaiz wa gunah hai

RASOOLULLAH ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Irshad farmate hain ﻟﻌﻦ ﺍﻟﻠﻪ ﺯﻭﺍﺭﺍﺕ ﺍﻟﻘﺒﻮﺭ

"Allah ki lanat un aurato par jo qabro ki ziyarat karen"
(Imam ahmad. Ibne maaja. Tirmizi wagaira)

Aur Imam qazi ayaz ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Se sawal kiya gaya ki Aurato ka mazarat par jana jaiz hai ya nahi ?

Farmaya- aisi baato me jaiz(to kuch hai hi) nahi . Ye poochho ki is me aurat par kitni lanat padhti hai. 

Khabardaar

Jab aurat jaane ka irada karti hai Allah aur farishte us par lanat karte hain. Aur jab ghar se chalti hai sab taraf se shaitan use ghher lete hain aur jab qabr tak pahunchti hai saahib-e-mazar(jinke mazar par auratgayi) ki rooh us aurat par lanat karti hai aur jab wapas aati hai to Allah ki lanat me hoti hai.
(Fatawa afriqa page 82)

Aala hazrat ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺮﺣﻤﻪ Farmate hain "Aurato ke liye siwaye Rasoole aazam ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ
Ki mazare paak ke kisi bhi buzurg ki qabr ki ziyarat karna jayiz nahi"
(Fatawa afreeqa-82)

Ek baat gaur karne ki ye hai ki Hazrat farooqe aazam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ Ne aurato ko masjid me aane par pabandi lagadi.

Hazrat abdullah ibne umar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ to jo aurate masjid me aati unhe kankariya maar kar
bahar nikalte.
(Jamalunnoor fi nahin nisa page-15)

Jab namaz jaisi aham ibadat ke liye aurato ko masjid me aane se roka gaya to phir mazarat
par haziri ki ijazat kaise ho sakti hai??

MAZAAR PAR HAZIRI KA TAREEQA:

1-Auraton ka mazar par jana mana hai,Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Alaihe Rahma farmate hain
"Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane Ke Liye) Ghar Se Irada Karti He La'nat Shuru Hojati He Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La'nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza e Rasool SalAllaho alaihe wasallam Ke Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, K Wo Zarya e Magfirat Hai"
(Malfuzat P#240)

2-Har giz har giz kisi bhi mazar ko ya kisi bhi gair Allah ko sajdah na karen ye shirk hai.Momin ka sajdah sirf Allah Ta'ala ke liye hai.

Ala Hazrat Alaihe Rahma farmate hain "Sajda ALLAH K Siwa Kisi K Lye Nhi, Gairullah Ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Tazimi Haraam"
(Azzubdatu zZakiyya... P#5)

3-Mazar Pe Haazri Ka Tariqa: Ala hazrat farmate hain "Paainti (Qadmon) Ki Taraf Se Jaaye,
Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Faasley Par Mawajeh Pr Khara Ho, Ba Adab Salam Arz Karey. 
3 Baar Alhamd Sharif, 1 Martaba Ayat ul Kursi, 7 Martaba Sura e Ikhlas Tilawat Karey.
(Fatawa Razawiya 9/522)

4-Mazaar Pr Dua Ka Tariqa: Ala Hazrat farmate hain "Fatiha Ke Bad Zaair Sahib e Mazaar Ke Wasiley Se Dua Karey Aur Apna Jaaiz Matlab Pesh Karey. 
Phir Salam Krta Hua Wapis Aye. Mazaar Ko Na Hath Lgaye Na Bosa Dey. Tawaf Bil Ittefaq Na Jaaiz He Aur Sajda Haraam He.
(Fatawa Razawiya 9/522)

5-"Mazar ya qabr Par Phoolon Ki Chaadar Daalne Me Shar'an Harj Nahi Bulke Niyyat e Hasan Se Hasan He Jese Quboor Par Phool Daalna Ke Jb Tak Wo Tarr Rahen Ge Tasbih Karen Ge Is Se Mayyit Ka Dil Behalta He Aur Rehmat Utarti He.

Fatawa Alamgiri Me Hai: Qabro Par Phoolo Ka Rakhna Acha He"
(Fatawa Hindiya 5/351)
(Fatawa Imam Qazi Khan)
(Imdadul Miftah)
(Raddul Mukhtar 1/606)
(Fatawa Razawiya 9/105)

6-Mazarat Par Chaadar Chadhana: Ala hazrat farmate hain "Mazaar Par Jab Chaadar aujood Ho, Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi Tu Chaadar Chadhana Fuzul Hai, Bulkey Jo Daam Is Me Sarf Karen, ALLAH Ke Wali Ko Esaal e Sawab Karne K Lye Kisi Mohtaj Ko Den"
(Ahkaam e Shariyat 1/42)

Aj hum ne chadar chadhane ko hi sab kuch samaj liya hai aur dhol taashe ke sath chadar lekar jate hain ye gair sharai aur galat hai.

7-Mazaar Sharif Ko Bousa Dena Aur Tawaf Karna:

Ala Hazrat Alaihe rahma farmate hain. "Mazar Ka Tawaf Baneyat Tazeem Najaiz Hai,
Tawaf Sirf Kaabe Ke Liye Makhsus Hai, Bousa Dene Se Bachna Chahiye, Ulma Ka Is Masle Mein Ikhtalaf He, Aastana Bousi Aur Aankho Se Lagana Jaiz He"
(Fatawa Razawiya 4/08)

8-"Farzi Mazaar Banana Aur Uske Sath Asal Ka Sa Muamla Karna Na Jaaiz Aur Bid'at He"
(Fatawa Razawiya 9/425)

No comments