Sarkashi Ke Liye Na Kaji Ke Liye | Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye - Naat Lyrics

Share:




Sarkashi Ke Liye Na Kaji Ke Liye

Khudsari Ke Liye Na Badi Ke Liye

Khusrawi Ke Liye Na Khudi Ke Liye

Zindagi Ye Nahi.N Hai Kisi Ke Liye

Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Bul-Hawas Na Samjh Hai.N Zari Ke Liye

Ham Hai.N Sarkaar Ki Bandagi Ke Liye

Baa-Khuda Ji Rahe Hai.N Isi Ke Liye

Na Samajh Marte Hai.N Zindagi Ke Liye

Jeena Marna Hai Sab Kuchh Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Aakhirat Hai Faqat Muttaqi Ke Liye

Dahr Ki Teeragi Hai Sabhi Ke Liye

Na Pareshaan Ho Chaandni Ke Liye

Chaandni Chaar Din Hai Sabhi Ke Liye

Hai Sada Chaand 'Abdunnabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Momin-O-Paarsa Aur Taahir Bhi Hai.N

Muflis-O-Naa-Tawaa.N Aur Qaadir Bhi Hai.N

Rahmat-E-Mustafa Se Ye Zaahir Bhi Hai.N

Anta Fee-Him Ke Daaman Me.N Munkir Bhi Hai.N

Ham Rahe 'Ishrat-E-Daaimi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Kat Gai Raat Aur Ho Gaya Paar Din

Ho Ke Un Se Juda To Hai Bekaar Din

Aane Waala Hai Tum Par Bahut Baar Din

'Aish Kar Lo Yaha.N, Munkiro ! Chaar Din

Mar Ke Tarsoge Is Zindagi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Shukr Shaamil Hai Gar Aap Ke Sabr Me.N

Mustafa Ki Milegi Raza Ajr Me.N

Paaoge Baa-Khuda Phir Jinaa.N Hashr Me.N

Daag-E-'Ishq-E-Nabi Le Chalo Qabr Me.N

Hai Charaag-E-Lahad Raushani Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Zer Hai.N Dushmanaan-E-Nabi Dekhiye

Har Taraf Hai Nishaan-E-Nabi Dekhiye

Aaiye 'Aashiqaan-E-Nabi Dekhiye

Naqsh-E-Paa-E-Sagaan-E-Nabi Dekhiye

Ye Pata Hai Bahut Rahbari Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Ai Bareilly ! Teri Ye Qayaadat Rahe

Markaziyat Teri Taa-Qayaamat Rahe

Ya Khuda ! Is Du'aa Me.N Ijaabat Rahe

Maslak-E-Aa'la-Hazrat Salaamat Rahe

Ek Pehchaan Deen-E-Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Tauq-E-Tahzeeb-E-Afrang Sab To.D Do

'Ishq-E-Sarkaar Me.N Tum Jiyo Aur Maro

Sunniyo ! Hukm-E-Taajushshari'aa Suno

Maslak-E-Aa'la-Hazrat Pe Qaaim Raho

Zindagi Di Gai Hai Isi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Sab Ko Haq Par Kahe Jo La'ee.N, Sunniyo !

Wo Hamaara Kabhi Bhi Nahi.N, Sunniyo !

Bhool Jaana Na Phir Tum Kahi.N, Sunniyo !

Sulh-E-Kulli Nabi Ka Nahi.N, Sunniyo !

Sunni Muslim Hai Sachcha Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Ya Khuda ! Mujh Ko Par De Ke Parwaaz De

Mustafa Ki Gali Ka Koi Raaz De

Ya Mujhe Is Tarah Se Tu E'zaaz De

Wo Bulaate Hai.N Koi Ye Aawaaz De

Dam Me.N Jaa Pahunchu.N Mai.N Haazri Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Meri Tishna Nazar Hai, Mere Mustafa !

Deed Ka Jaam Ab To Pilaao, Shaha !

Hai Yahi 'Arz Tujh Se Tu Jaa Kar Zara

Ai Naseem-E-Saba ! Un Se Keh De Zara

Muztarib Hai Gada Haazri Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Chaand Me.N Tootne Ki Hai Phir Se Lalak

Maah-O-Akhtar Me.N Hai.N Un Ke Rukh Ki Jhalak

De Rahe Hai.N Sada Ye Sabhi Za-Falaq

Jin Ke Dil Me.N Hai 'Ishq-E-Nabi Ki Chamak

Wo Taraste Nahi.N Chaandni Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Mustafa Dijiye Walwale 'Ishq Ke

Loot Lu.N Mai.N Bhi To Kuchh Maze 'Ishq Ke

Choonki Dekhe Hai.N Ye Falsafe 'Ishq Ke

Jin Ke Dil Me.N Hai.N Jalwe Tere 'Ishq Ke

Chashma-E-Noor Hai.N Raushni Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Pa.Dh Rahe The Jo Paare Tere 'Ishq Ke

Cha.Dh Gae Rang Saare Tere 'Ishq Ke

Un Ko Haasil Hai.N Rishte Tere 'Ishq Ke

Jin Ke Dil Me.N Hai.N Jalwe Tere 'Ishq Ke

Wo Hai.N Najm-E-Zama.N Raushni Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Dekh Kar Wo Janaaze Ka Manzar, Shaha !

Aap Ke Roz-O-Shab Ko Jab Is Ne Pa.Dha

Ayyub-E-Khasta Be-Sakhta Bol Utha

Akhtar-E-Qadri Khuld Me.N Chal Diya

Khuld Waa Hai Har Ik Qaadri Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Kalam By: Mufti Akhtar Raza Khan Barelvi

Recited By: Sabir Raza Azhari Surat

No comments