Shai al Lillah Ya Abdul Qadir – Full Naat Sharif Lyrics

Share:

About the Naat Sharif "Shai al Lillah Ya Abdul Qadir"

"Shai al Lillah Ya Abdul Qadir" is a revered Manqabat (devotional poem) dedicated to Hazrat Abdul Qadir Jilani, a prominent Sufi saint known as Ghaus-e-Azam. This Manqabat is cherished in Islamic traditions for its profound spiritual significance and is often recited to seek blessings and spiritual guidance.

The Manqabat has been performed by various artists, each bringing their unique rendition to the piece. Notable recitations include those by Alhaaj Owais Raza Qadri and Hafiz Muhammad Amir Qadri. These performances are widely available on platforms like YouTube, allowing devotees to listen and reflect upon the spiritual messages conveyed.

For those interested in experiencing this Manqabat, here is a rendition by Alhaaj Owais Raza Qadri:


(Shaial-Lillah Ya Abd-Al-Qaadir - English Naat Lyrics)

Imdaad Kun, Imdaad Kun

Az Ranj-O-Gam Aazaad Kun

Dar Deen-O-Duniya Shaad Kun

Ya Gaus-E-Aa'zam Dast-Geer !


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Azal Se Haath Me.N Daaman Hai Aaya Gaus-E-Aa'zam Ka

Karam Se Silsila Ham Ne Hai Paaya Gaus-E-Aa'zam Ka

'Adam Se Rab Ne Shaidaai Banaaya Gaus-E-Aa'zam Ka

Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa'zam Ka

Hame.N Dono.N Jahaa.N Me.N Hai Sahaara Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Bani Kis Ke Sabab Har Baat Hai ! Bagdaad Waale Ke

Hawaale Kis Ke Apni Zaat Hai ! Bagdaad Waale Ke

Hamaara Saath Kis Ke Saath Hai ! Bagdaad Waale Ke

Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai ! Bagdaad Waale Ke

Museebat Taal Dena Kaam Kis Ka ! Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Shah-E-Jeelaan ! De Kar Ye Khushkhabari Gulaamo.N Ko

Ba-Roz-E-Hashr Bhi Raahat 'Ata Kar Di Gulaamo.N Ko

Rahegi Kyu.N Bhala Ab Koi Bechaini Gulaamo.N Ko

'Mureedi Laa-Takhaf' Keh Kar Tasalli Di Gulaamo.N Ko

Qayaamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Mohabbat Se Nawaaza Jaaega Un Ke Gulaamo.N Ko

Ye Keh Do Qaadri Tha Qaadri Hu.N Qaadriyo.N Ko

Bulaaya Jaaega Ik Simt Saare Khush-Naseebo.N Ko

Nida Dega Munaadi Hashr Me.N Yu.N Qaadriyo.N Ko

Kahaa.N Hai.N Qaadri ? Kar Le.N Nazaara Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Sulook Achchha Rakho Mujh Gaus-E-Aa'zam Ke Deewaane Se

Kinaaraa-Kash Raha Hu.N Muddato.N Saare Zamaane Se

Mujhe Ab Hashr Me.N Tum Qaadri In'aam Paane Se

Farishto ! Rokte Kyu.N Ho Mujhe Jannat Me.N Jaane Se

Ye Dekho Haath Me.N Daaman Hai Kis Ka ! Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Tamaami Dekh Lo Ik Baar Jab Mere Janaaze Ko

Ai Pyaaro ! Kar Chuko Sab Pyaar Jab Mere Janaaze Ko

Bana Lo Khoob Khushboodaar Jab Mere Janaaze Ko

'Azeezo ! Kar Chuko Tayyaar Jab Mere Janaaze Ko

To Likh Dena Kafan Par Naam-E-Waala Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Anokha Hai, Niraala Hai Mere Gaus-Ul-Wara Ka Dar

Chala Is Dar Raees Ashraf Ki Nisbat *Jaami* Bhi Le Kar

Fidaai Hai Jahaa.N Jis Ka, Gulaami Jis Ki Hai Behtar

*Jameel-E-Qaadri *! Sau Jaa.N Se Ho Qurbaan Murshid Par

Banaaya Jis Ne Ham Jaiso.N Ko Banda Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


((Shaial-Lillah Ya Abd-Al-Qaadir - Hindi Naat Lyrics)

इमदाद कुन, इमदाद कुन, अज़ रंज-ओ-ग़म आज़ाद कुन

दर दीन-ओ-दुनिया शाद कुन, या ग़ौस-ए-आ'ज़म दस्त-गीर !


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


अज़ल से हाथ में दामन है आया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

करम से सिलसिला हम ने है पाया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

'अदम से रब ने शैदाई बनाया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

हमें दोनों जहाँ में है सहारा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


बनी किस के सबब हर बात है ! बग़दाद वाले के

हवाले किस के अपनी ज़ात है ! बग़दाद वाले के

हमारा साथ किस के साथ है ! बग़दाद वाले के

हमारी लाज किस के हाथ है ! बग़दाद वाले के

मुसीबत टाल देना काम किस का ! ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


शह-ए-जीलान ! दे कर ये ख़ुशख़बरी ग़ुलामों को

ब-रोज़-ए-हश्र भी राहत 'अता कर दी ग़ुलामों को

रहेगी क्यूँ भला अब कोई बेचैनी ग़ुलामों को

'मुरीदी ला-तख़फ़' कह कर तसल्ली दी ग़ुलामों को

क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ बंदा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


मोहब्बत से नवाज़ा जाएगा उन के ग़ुलामों को

ये कह दो, क़ादरी था क़ादरी हूँ क़ादरियों को

बुलाया जाएगा इक सिम्त सारे ख़ुश-नसीबों को

निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को

कहाँ हैं क़ादरी ? कर लें नज़ारा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


सुलूक अच्छा रखो मुझ ग़ौस-ए-आ'ज़म के दीवाने से

किनारा-कश रहा हूँ मुद्दतों सारे ज़माने से

मुझे अब हश्र में तुम क़ादरी इन'आम पाने से

फ़रिश्तो ! रोकते क्यूँ हो मुझे जन्नत में जाने से

ये देखो हाथ में दामन है किस का ! ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


तमामी देख लो इक बार जब मेरे जनाज़े को

ऐ प्यारो ! कर चुको सब प्यार जब मेरे जनाज़े को

बना लो ख़ूब ख़ुश्बूदार जब मेरे जनाज़े को

'अज़ीज़ो ! कर चुको तय्यार जब मेरे जनाज़े को

तो लिख देना कफ़न पर नाम-ए-वाला ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


अनोखा है, निराला है मेरे ग़ौस-उल-वरा का दर

चला इस दर रईस अशरफ़ की निस्बत *जामी* भी ले कर

फ़िदाई है जहाँ जिस का, ग़ुलामी जिस की है बेहतर

*जमील-ए-क़ादरी* ! सौ जाँ से हो क़ुर्बान मुर्शिद पर

बनाया जिस ने हम जैसों को बंदा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !



No comments