The Naat Sharif "Hai.N Mere Peer Laasaani Muhayyuddin Jeelaani," written by Mufti Ahmed Yar Khan Naimi, is a heartfelt devotional poem dedicated to Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani, also known as Ghaus-e-Azam. It celebrates the saint's unmatched spiritual authority, describing him as a beacon of divine light connected to the Prophet Muhammad (PBUH) and Imam Ali's lineage. The verses reflect a deep faith in Ghaus-e-Azam’s role as a protector and guide, providing comfort and support to followers in times of distress. Recited by Naat Khwans like Maulana Ubaid Raza Attari, this Naat resonates with devotees, reinforcing their bond with Ghaus-e-Azam's spiritual legacy.
Here are the complete lyrics for the Hain Mere Peer Laasaani Muhayyuddin Jeelaani " written by Mufti Ahmed Yar Khan Naimi, in both English and Hindi.
Hain Mere Peer Lasani Muhayyuddin Jeelani Nabi Ki Shama Noorani Muhayyuddin Jeelani
Ali Ke Ladle, Noor Nigah Hazrat Zahra Rasoolullah Ke Jani Muhayyuddin Jeelani
Laqab Hai Qutb Rabbani, Sharaf Mahboob Subhani Hai Rukh Qindeel Noorani, Muhayyuddin Jeelani
Bilaadullahi Mulki Tahta Hukmi Se Hui Saabit Jahan Mein Teri Sultani, Muhayyuddin Jeelani
Ba-Juz Tere, Shah Bagdad! Koi Aur Kya Jaane Mere Dil Ki Pareshani, Muhayyuddin Jeelani
Faqeer Qadri Main, Badshah Qadri Tum Ho Ho Dard Dil Ki Darmani, Muhayyuddin Jeelani
Khushi Se Kar Do Misl Ward Mere Guncha Dil Ko Pa Sultan Samnani, Muhayyuddin Jeelani
Tumhara Ik Ishara Ho To Mera Kaam Ban Jaye Rafa Ho Saari Hairani, Muhayyuddin Jeelani
Madad Ka Waqt Hai, Mushkil Kushai Ke Liye Aao Hai Bahr Gam Mein Tugyaani, Muhayyuddin Jeelani
Gaus Piya Sarkaar ! Mera Kar Do Be.Da Paar - Full Naat Sharif Lyrics
The Naat Sharif "Ghaus Piya Sarkar," written by poet Arshad Habibi, is a devotional tribute to Hazrat Ghaus-e-Azam, Sheikh Abdul Qadir Jilani, a prominent Sufi saint deeply revered in Islamic tradition. Through heartfelt verses, the Naat reflects profound reverence and devotion, celebrating Hazrat Ghaus-e-Azam as a source of spiritual guidance and divine blessing for followers.
The words "Ghaus Piya Sarkar" translate to "Beloved Master Ghaus," capturing the essence of love and loyalty devotees feel toward this esteemed figure. Arshad Habibi's verses illustrate Hazrat Abdul Qadir Jilani’s spiritual significance, portraying him as a protector and source of comfort for those seeking solace and connection to the Divine.
Popular renditions of "Ghaus Piya Sarkar" by notable Naat Khwans, including Milad Raza Qadri, have amplified its reach, making it widely cherished. These performances resonate deeply with listeners, bringing the poetry’s spiritual themes to life and allowing devotees to reflect on the enduring legacy of Hazrat Ghaus-e-Azam.
Here are the complete lyrics for the Naat Sharif "Ghaus Piya Sarkar," written by Arshad Habibi, in both English and Hindi.
About the Naat Sharif "Shai al Lillah Ya Abdul Qadir"
"Shai al Lillah Ya Abdul Qadir" is a revered Manqabat (devotional poem) dedicated to Hazrat Abdul Qadir Jilani, a prominent Sufi saint known as Ghaus-e-Azam. This Manqabat is cherished in Islamic traditions for its profound spiritual significance and is often recited to seek blessings and spiritual guidance.
The Manqabat has been performed by various artists, each bringing their unique rendition to the piece. Notable recitations include those by Alhaaj Owais Raza Qadri and Hafiz Muhammad Amir Qadri. These performances are widely available on platforms like YouTube, allowing devotees to listen and reflect upon the spiritual messages conveyed.
For those interested in experiencing this Manqabat, here is a rendition by Alhaaj Owais Raza Qadri:
(Shaial-Lillah Ya Abd-Al-Qaadir - English Naat Lyrics)
Imdaad Kun, Imdaad Kun
Az Ranj-O-Gam Aazaad Kun
Dar Deen-O-Duniya Shaad Kun
Ya Gaus-E-Aa'zam Dast-Geer !
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Azal Se Haath Me.N Daaman Hai Aaya Gaus-E-Aa'zam Ka
Karam Se Silsila Ham Ne Hai Paaya Gaus-E-Aa'zam Ka
'Adam Se Rab Ne Shaidaai Banaaya Gaus-E-Aa'zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa'zam Ka
Hame.N Dono.N Jahaa.N Me.N Hai Sahaara Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Bani Kis Ke Sabab Har Baat Hai ! Bagdaad Waale Ke
Hawaale Kis Ke Apni Zaat Hai ! Bagdaad Waale Ke
Hamaara Saath Kis Ke Saath Hai ! Bagdaad Waale Ke
Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai ! Bagdaad Waale Ke
Museebat Taal Dena Kaam Kis Ka ! Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Shah-E-Jeelaan ! De Kar Ye Khushkhabari Gulaamo.N Ko
Ba-Roz-E-Hashr Bhi Raahat 'Ata Kar Di Gulaamo.N Ko
Rahegi Kyu.N Bhala Ab Koi Bechaini Gulaamo.N Ko
'Mureedi Laa-Takhaf' Keh Kar Tasalli Di Gulaamo.N Ko
Qayaamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Mohabbat Se Nawaaza Jaaega Un Ke Gulaamo.N Ko
Ye Keh Do Qaadri Tha Qaadri Hu.N Qaadriyo.N Ko
Bulaaya Jaaega Ik Simt Saare Khush-Naseebo.N Ko
Nida Dega Munaadi Hashr Me.N Yu.N Qaadriyo.N Ko
Kahaa.N Hai.N Qaadri ? Kar Le.N Nazaara Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Sulook Achchha Rakho Mujh Gaus-E-Aa'zam Ke Deewaane Se
Kinaaraa-Kash Raha Hu.N Muddato.N Saare Zamaane Se
Mujhe Ab Hashr Me.N Tum Qaadri In'aam Paane Se
Farishto ! Rokte Kyu.N Ho Mujhe Jannat Me.N Jaane Se
Ye Dekho Haath Me.N Daaman Hai Kis Ka ! Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Tamaami Dekh Lo Ik Baar Jab Mere Janaaze Ko
Ai Pyaaro ! Kar Chuko Sab Pyaar Jab Mere Janaaze Ko
Bana Lo Khoob Khushboodaar Jab Mere Janaaze Ko
'Azeezo ! Kar Chuko Tayyaar Jab Mere Janaaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam-E-Waala Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
Anokha Hai, Niraala Hai Mere Gaus-Ul-Wara Ka Dar
Chala Is Dar Raees Ashraf Ki Nisbat *Jaami* Bhi Le Kar
Fidaai Hai Jahaa.N Jis Ka, Gulaami Jis Ki Hai Behtar
*Jameel-E-Qaadri *! Sau Jaa.N Se Ho Qurbaan Murshid Par
Banaaya Jis Ne Ham Jaiso.N Ko Banda Gaus-E-Aa'zam Ka
Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !
Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !
((Shaial-Lillah Ya Abd-Al-Qaadir - Hindi Naat Lyrics)
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir Naat - Gyaravi Special Naat dedicated to Peerane Peer Gaus-E-Aa’Zam Dastageer Sayyiduna Hazrat Abdul Qadir Jilani (رَحْمَۃُ اللہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ)
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Maula Ali Ke Tum Ho Dulaare
Zahra Ki Aankhon Ke Taare
Judo-Sakha Hai Teri Be-Nazeer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Allah Allah! Ye Unka Rutba
Deen-e-Khuda Ke Wo Hai Maseeha
Khalk-e-Khuda Ke Hain Dastageer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Raah-e-Yakeen Par Tumne Chalaaya
Bandon Ko Rab Se Tumne Milaaya
Wallah, Sab Hain Tumhare Aseer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Jab Se Tumhare Dar Pe Gira Hoon
Izzat Ki Masnad Pe Khada Hoon
Kehlata Hoon Tumhara Faqeer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Aa Jaana Tum Qabar Mein Meri
Hogi Wahaan Par Sakht Andheri
Mujhko Sataaye Na Munkar-Nakeer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Tere Hi Qadmon Ki Badolat
Hai Meri Sansaar Me Izzat
Kaise Chale Koi Mujh Pe Teer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Yaamine-Bekas Pe Karam Ho
Hai Jo Doori Kaash Wo Kam Ho
Ho Dastageeri Ae Dastageer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
Baghdad Waale Meera Roshan Zameer
Mere Piran-e-Pir, Mere Piran-e Pir
मेरे पीराने-पीर, मेरे पीराने पीर बग़दाद वाले मीरा रोशन ज़मीर