Mere Gyaarahwi Waale Peer Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer (मेरे ग्यारहवीं वाले पीर गौस-ए-आ’ज़म दस्त-गीर नात)
Mushkil Pade To Yaad Karo Dast-Geer Ko
Bagdaad Waale Hazrat-E-Peeraan-E-Peer Ko
Ya Gaus ! Al-Madad
Ya Gaus ! Al-Madad
Ya Jeelaani ! Shaial-Lillah
Ya Jeelaani ! Shaial-Lillah
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Hamein Dono Jahaan Mein Hai Sahaara Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Ya Shaah-E-Jeelaan ! Karam Hai Tera
Mere Gyaarahwi Waale Peer! Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Tere Dar Ka Main Faqeer, Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Tera Rutba Be-Nazeer, Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Meri Chamka Di Taqdeer, Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai ! Bagdaad Waale Ke
Museebat Taal Dena Kaam Kis Ka ! Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Muhammad Ka Rasoolon Mein Hai Jaise Martaba Aa’La
Hai Afzal Auliya Mein Yunh Hi Rutba Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Janaab-E-Gaus Dulha Aur Baraati Auliya Honge
Maza Dikhlaaega Mahshar Me.N Sehra Gaus-E-Aa’Zam Ka
Nida Dega Munaadi Hashr Me.N Yu.N Qaadriyo.N Ko
Kidhar Hain Qaadri? Kar Lein Nazaara Gaus-E-Aa’Zam Ka
Mukhaalif Kya Kare Mera Ki Hai Be-Had Karam Mujh Par
Khuda Ka, Rahmatul-Lil-‘Aalmeen Ka, Gaus-E-Aa’Zam Ka
Mere Gyaarahwi.N Waale Peer ! Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Tere Dar Ka Mai.N Faqeer, Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Tera Rutba Be-Nazeer, Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Meri Chamka Di Taqdeer, Gaus-E-Aa’Zam Dast-Geer !
Jameel-E-Qaadri ! Sau Jaan Se Qurbaan Murshid Par
Banaaya Jis Ne Mujh Jaise Ko Banda Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa’Zam Ka
No comments