Monday, November 4, 2024

Shai al Lillah Ya Abdul Qadir – Full Naat Sharif Lyrics

Shai al Lillah Ya Abdul Qadir – Full Naat Sharif Lyrics

About the Naat Sharif "Shai al Lillah Ya Abdul Qadir"

"Shai al Lillah Ya Abdul Qadir" is a revered Manqabat (devotional poem) dedicated to Hazrat Abdul Qadir Jilani, a prominent Sufi saint known as Ghaus-e-Azam. This Manqabat is cherished in Islamic traditions for its profound spiritual significance and is often recited to seek blessings and spiritual guidance.

The Manqabat has been performed by various artists, each bringing their unique rendition to the piece. Notable recitations include those by Alhaaj Owais Raza Qadri and Hafiz Muhammad Amir Qadri. These performances are widely available on platforms like YouTube, allowing devotees to listen and reflect upon the spiritual messages conveyed.

For those interested in experiencing this Manqabat, here is a rendition by Alhaaj Owais Raza Qadri:


(Shaial-Lillah Ya Abd-Al-Qaadir - English Naat Lyrics)

Imdaad Kun, Imdaad Kun

Az Ranj-O-Gam Aazaad Kun

Dar Deen-O-Duniya Shaad Kun

Ya Gaus-E-Aa'zam Dast-Geer !


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Azal Se Haath Me.N Daaman Hai Aaya Gaus-E-Aa'zam Ka

Karam Se Silsila Ham Ne Hai Paaya Gaus-E-Aa'zam Ka

'Adam Se Rab Ne Shaidaai Banaaya Gaus-E-Aa'zam Ka

Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Gaus-E-Aa'zam Ka

Hame.N Dono.N Jahaa.N Me.N Hai Sahaara Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Bani Kis Ke Sabab Har Baat Hai ! Bagdaad Waale Ke

Hawaale Kis Ke Apni Zaat Hai ! Bagdaad Waale Ke

Hamaara Saath Kis Ke Saath Hai ! Bagdaad Waale Ke

Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai ! Bagdaad Waale Ke

Museebat Taal Dena Kaam Kis Ka ! Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Shah-E-Jeelaan ! De Kar Ye Khushkhabari Gulaamo.N Ko

Ba-Roz-E-Hashr Bhi Raahat 'Ata Kar Di Gulaamo.N Ko

Rahegi Kyu.N Bhala Ab Koi Bechaini Gulaamo.N Ko

'Mureedi Laa-Takhaf' Keh Kar Tasalli Di Gulaamo.N Ko

Qayaamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Mohabbat Se Nawaaza Jaaega Un Ke Gulaamo.N Ko

Ye Keh Do Qaadri Tha Qaadri Hu.N Qaadriyo.N Ko

Bulaaya Jaaega Ik Simt Saare Khush-Naseebo.N Ko

Nida Dega Munaadi Hashr Me.N Yu.N Qaadriyo.N Ko

Kahaa.N Hai.N Qaadri ? Kar Le.N Nazaara Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Sulook Achchha Rakho Mujh Gaus-E-Aa'zam Ke Deewaane Se

Kinaaraa-Kash Raha Hu.N Muddato.N Saare Zamaane Se

Mujhe Ab Hashr Me.N Tum Qaadri In'aam Paane Se

Farishto ! Rokte Kyu.N Ho Mujhe Jannat Me.N Jaane Se

Ye Dekho Haath Me.N Daaman Hai Kis Ka ! Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Tamaami Dekh Lo Ik Baar Jab Mere Janaaze Ko

Ai Pyaaro ! Kar Chuko Sab Pyaar Jab Mere Janaaze Ko

Bana Lo Khoob Khushboodaar Jab Mere Janaaze Ko

'Azeezo ! Kar Chuko Tayyaar Jab Mere Janaaze Ko

To Likh Dena Kafan Par Naam-E-Waala Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


Anokha Hai, Niraala Hai Mere Gaus-Ul-Wara Ka Dar

Chala Is Dar Raees Ashraf Ki Nisbat *Jaami* Bhi Le Kar

Fidaai Hai Jahaa.N Jis Ka, Gulaami Jis Ki Hai Behtar

*Jameel-E-Qaadri *! Sau Jaa.N Se Ho Qurbaan Murshid Par

Banaaya Jis Ne Ham Jaiso.N Ko Banda Gaus-E-Aa'zam Ka


Shaial-Lillah, Ya 'Abd-Al-Qaadir !

Saakin Al-Bagdaad Ya Shaikh Al-Jeelaani !


((Shaial-Lillah Ya Abd-Al-Qaadir - Hindi Naat Lyrics)

इमदाद कुन, इमदाद कुन, अज़ रंज-ओ-ग़म आज़ाद कुन

दर दीन-ओ-दुनिया शाद कुन, या ग़ौस-ए-आ'ज़म दस्त-गीर !


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


अज़ल से हाथ में दामन है आया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

करम से सिलसिला हम ने है पाया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

'अदम से रब ने शैदाई बनाया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

ख़ुदा के फ़ज़्ल से हम पर है साया ग़ौस-ए-आ'ज़म का

हमें दोनों जहाँ में है सहारा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


बनी किस के सबब हर बात है ! बग़दाद वाले के

हवाले किस के अपनी ज़ात है ! बग़दाद वाले के

हमारा साथ किस के साथ है ! बग़दाद वाले के

हमारी लाज किस के हाथ है ! बग़दाद वाले के

मुसीबत टाल देना काम किस का ! ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


शह-ए-जीलान ! दे कर ये ख़ुशख़बरी ग़ुलामों को

ब-रोज़-ए-हश्र भी राहत 'अता कर दी ग़ुलामों को

रहेगी क्यूँ भला अब कोई बेचैनी ग़ुलामों को

'मुरीदी ला-तख़फ़' कह कर तसल्ली दी ग़ुलामों को

क़यामत तक रहे बे-ख़ौफ बंदा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


मोहब्बत से नवाज़ा जाएगा उन के ग़ुलामों को

ये कह दो, क़ादरी था क़ादरी हूँ क़ादरियों को

बुलाया जाएगा इक सिम्त सारे ख़ुश-नसीबों को

निदा देगा मुनादी हश्र में यूँ क़ादरियों को

कहाँ हैं क़ादरी ? कर लें नज़ारा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


सुलूक अच्छा रखो मुझ ग़ौस-ए-आ'ज़म के दीवाने से

किनारा-कश रहा हूँ मुद्दतों सारे ज़माने से

मुझे अब हश्र में तुम क़ादरी इन'आम पाने से

फ़रिश्तो ! रोकते क्यूँ हो मुझे जन्नत में जाने से

ये देखो हाथ में दामन है किस का ! ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


तमामी देख लो इक बार जब मेरे जनाज़े को

ऐ प्यारो ! कर चुको सब प्यार जब मेरे जनाज़े को

बना लो ख़ूब ख़ुश्बूदार जब मेरे जनाज़े को

'अज़ीज़ो ! कर चुको तय्यार जब मेरे जनाज़े को

तो लिख देना कफ़न पर नाम-ए-वाला ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !


अनोखा है, निराला है मेरे ग़ौस-उल-वरा का दर

चला इस दर रईस अशरफ़ की निस्बत *जामी* भी ले कर

फ़िदाई है जहाँ जिस का, ग़ुलामी जिस की है बेहतर

*जमील-ए-क़ादरी* ! सौ जाँ से हो क़ुर्बान मुर्शिद पर

बनाया जिस ने हम जैसों को बंदा ग़ौस-ए-आ'ज़म का


शैअल-लिल्लाह, या 'अब्द-अल-क़ादिर !

साकिन अल-बग़दाद या शैख़ अल-जीलानी !



Sarkashi Ke Liye Na Kaji Ke Liye | Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye - Naat Lyrics

Sarkashi Ke Liye Na Kaji Ke Liye | Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye - Naat Lyrics




Sarkashi Ke Liye Na Kaji Ke Liye

Khudsari Ke Liye Na Badi Ke Liye

Khusrawi Ke Liye Na Khudi Ke Liye

Zindagi Ye Nahi.N Hai Kisi Ke Liye

Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Bul-Hawas Na Samjh Hai.N Zari Ke Liye

Ham Hai.N Sarkaar Ki Bandagi Ke Liye

Baa-Khuda Ji Rahe Hai.N Isi Ke Liye

Na Samajh Marte Hai.N Zindagi Ke Liye

Jeena Marna Hai Sab Kuchh Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Aakhirat Hai Faqat Muttaqi Ke Liye

Dahr Ki Teeragi Hai Sabhi Ke Liye

Na Pareshaan Ho Chaandni Ke Liye

Chaandni Chaar Din Hai Sabhi Ke Liye

Hai Sada Chaand 'Abdunnabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Momin-O-Paarsa Aur Taahir Bhi Hai.N

Muflis-O-Naa-Tawaa.N Aur Qaadir Bhi Hai.N

Rahmat-E-Mustafa Se Ye Zaahir Bhi Hai.N

Anta Fee-Him Ke Daaman Me.N Munkir Bhi Hai.N

Ham Rahe 'Ishrat-E-Daaimi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Kat Gai Raat Aur Ho Gaya Paar Din

Ho Ke Un Se Juda To Hai Bekaar Din

Aane Waala Hai Tum Par Bahut Baar Din

'Aish Kar Lo Yaha.N, Munkiro ! Chaar Din

Mar Ke Tarsoge Is Zindagi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Shukr Shaamil Hai Gar Aap Ke Sabr Me.N

Mustafa Ki Milegi Raza Ajr Me.N

Paaoge Baa-Khuda Phir Jinaa.N Hashr Me.N

Daag-E-'Ishq-E-Nabi Le Chalo Qabr Me.N

Hai Charaag-E-Lahad Raushani Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Zer Hai.N Dushmanaan-E-Nabi Dekhiye

Har Taraf Hai Nishaan-E-Nabi Dekhiye

Aaiye 'Aashiqaan-E-Nabi Dekhiye

Naqsh-E-Paa-E-Sagaan-E-Nabi Dekhiye

Ye Pata Hai Bahut Rahbari Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Ai Bareilly ! Teri Ye Qayaadat Rahe

Markaziyat Teri Taa-Qayaamat Rahe

Ya Khuda ! Is Du'aa Me.N Ijaabat Rahe

Maslak-E-Aa'la-Hazrat Salaamat Rahe

Ek Pehchaan Deen-E-Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Tauq-E-Tahzeeb-E-Afrang Sab To.D Do

'Ishq-E-Sarkaar Me.N Tum Jiyo Aur Maro

Sunniyo ! Hukm-E-Taajushshari'aa Suno

Maslak-E-Aa'la-Hazrat Pe Qaaim Raho

Zindagi Di Gai Hai Isi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Sab Ko Haq Par Kahe Jo La'ee.N, Sunniyo !

Wo Hamaara Kabhi Bhi Nahi.N, Sunniyo !

Bhool Jaana Na Phir Tum Kahi.N, Sunniyo !

Sulh-E-Kulli Nabi Ka Nahi.N, Sunniyo !

Sunni Muslim Hai Sachcha Nabi Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Ya Khuda ! Mujh Ko Par De Ke Parwaaz De

Mustafa Ki Gali Ka Koi Raaz De

Ya Mujhe Is Tarah Se Tu E'zaaz De

Wo Bulaate Hai.N Koi Ye Aawaaz De

Dam Me.N Jaa Pahunchu.N Mai.N Haazri Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Meri Tishna Nazar Hai, Mere Mustafa !

Deed Ka Jaam Ab To Pilaao, Shaha !

Hai Yahi 'Arz Tujh Se Tu Jaa Kar Zara

Ai Naseem-E-Saba ! Un Se Keh De Zara

Muztarib Hai Gada Haazri Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Chaand Me.N Tootne Ki Hai Phir Se Lalak

Maah-O-Akhtar Me.N Hai.N Un Ke Rukh Ki Jhalak

De Rahe Hai.N Sada Ye Sabhi Za-Falaq

Jin Ke Dil Me.N Hai 'Ishq-E-Nabi Ki Chamak

Wo Taraste Nahi.N Chaandni Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Mustafa Dijiye Walwale 'Ishq Ke

Loot Lu.N Mai.N Bhi To Kuchh Maze 'Ishq Ke

Choonki Dekhe Hai.N Ye Falsafe 'Ishq Ke

Jin Ke Dil Me.N Hai.N Jalwe Tere 'Ishq Ke

Chashma-E-Noor Hai.N Raushni Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Pa.Dh Rahe The Jo Paare Tere 'Ishq Ke

Cha.Dh Gae Rang Saare Tere 'Ishq Ke

Un Ko Haasil Hai.N Rishte Tere 'Ishq Ke

Jin Ke Dil Me.N Hai.N Jalwe Tere 'Ishq Ke

Wo Hai.N Najm-E-Zama.N Raushni Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Dekh Kar Wo Janaaze Ka Manzar, Shaha !

Aap Ke Roz-O-Shab Ko Jab Is Ne Pa.Dha

Ayyub-E-Khasta Be-Sakhta Bol Utha

Akhtar-E-Qadri Khuld Me.N Chal Diya

Khuld Waa Hai Har Ik Qaadri Ke Liye


Wallah ! Wallah ! Wallah !

Wallah ! Wallah ! Wallah !


Kalam By: Mufti Akhtar Raza Khan Barelvi

Recited By: Sabir Raza Azhari Surat

Tuesday, March 12, 2024

Charity in Islam: A Deep Dive into Waajib and Nafl Sadqa

Charity in Islam: A Deep Dive into Waajib and Nafl Sadqa

 Charity in Islam: A Deep Dive into Waajib and Nafl Sadqa


Question: Kya hum sadqa masjid mein de sakte hain? Can we give charity in the mosque?

Answer by Mufti Muhammad Shahid Barkati

1. Waajib Sadqa:Yani jiska ada karna Shari'at ke hukm se zaruri hai, na dene wala gunahgar hota hai. Jaise:

   - Zakaat

   - Ushr

   - Fitra

   - Fidya

   - Kaffara

Inme se kisi ko bhi Sadqa nahi de sakte

   - Kisi sahib-e nisab ko

   - Sahib-e nisab ke nabalaigh bachcho ko

   - Hashmi ko

   - Non-Muslim ko

   - Apni aulad ya aulad ki aulad ko

   - Apne maa-baap ko, maa-baap ke maa-baap ko

   - Apne miya biwi ko

   - Aur Masjid me nahi de sakte.


2. Nafl Sadqa: Inke alawa jo kuchh banda apni marzi se kharch karta hai wo sab Nafl sadqa hai. Har kisi ko de sakte hain, Masjid me bhi de sakte hain. Balke kisi dunyawi lalach, badle aur qarz ke baghair sirf sawab ki niyat se jo kuchh kharch kiya jaye sab sadqa hai. Yaha tak ke zaban se bhi agar kisi ka bhala kiya jaye wo nafl sadqa hai.


Waajib Sadqa Kisko De Sakte hai?

Waajib Sadqa ko aap inhe de sakte hain:

Sahib-e Nisab Se Kam Aamdani Wale Musalman: Jo log Zakat ya Fitra dene ke liye khud sahib-e nisab nahi hain, unhe Waajib Sadqa diya ja sakta hai.

Ghareeb aur Zaruratmand Musalman: Jo log apni zarurat puri karne mein asamarth hain ya jo musibat mein hain, unhe Waajib Sadqa diya ja sakta hai.

Muallafatul Quloob: Wo log jo Islam me naye hain ya jinhe Islam ki taraf raghib karne ki zarurat hai.

Ghulam ya Qaidi: Jo log ghulam hain ya qaidi hain aur unki azadi ya rehaai ke liye Waajib Sadqa diya ja sakta hai.

Qarzdar: Jo log qarz me doobe huye hain aur apna qarz ada karne mein asamarth hain.

Fisabilillah: Allah ki raah mein jihad karne wale ya deeni maqsad ke liye kaam karne wale.

Ibnus Sabil: Musafir jo apne safar me zaruratmand ho gaye hain.

Ye dhyan rakhein ki Waajib Sadqa ko aap apne khaas rishtedaaron jaise maa-baap, bachon, ya biwi ko nahi de sakte hain aur na hi Hashmi (Nabi Muhammad SAW ki aulad) ko de sakte hain.


Friday, March 8, 2024

Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai | Junaid Sheikh Attari

Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai | Junaid Sheikh Attari

 "Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai" is a naat that beautifully captures the essence and anticipation of the holy month of Ramadan, recited by Junaid Sheikh Attari. This naat, with its profound lyrics, celebrates the divine blessings and mercy that are abundantly bestowed upon believers during Ramadan.



Khuda Ki Hai Inayat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai

Hui Mola Ki Rahmat Maah-e-Ramzan Aane Wala Hai


Mah-e-Ramzañ, Mahe Ghufrañ, Mah-e-Sub’hañ, Maah-e-Ramzañ

Khuleñge Baabe Jannat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Masajid Hongi Phir Aabad Shaitan Jal Mare Naashaad

Mile Momin Ko Farhat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Dil-e-Maghmoom Phir Ik Baar Khushiyoñ Se Hua Sarshar

Hui Haasil Masarrat Maah-e-Ramzañ Aane.


Khushi Se Jhoomta Hai, Dil Machi Hai Qalb Me Halchal

Mile Aashiq Ko Farhat Maah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Tarabeeh Aur Namazoñ Me Kami Hogi, Na Rozoñ Me

Karo Milkar Ye Ni’at Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Ilahi Aafiyat Dena, Salamat Dil Ata Karna

Ata Kar De Tu Sehat, Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Maiñ Ramzanul Mubarak Pauñ, Roze Sare Rakh Pauñ

Tu Rakh Zinda Salamat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Nabi Ke Ishq Me Rouuñ Madine Ke Liye Tadpuñ

Khuda De Shoz-o-Riqqat Mah-e-Ramzañ Aane Wala.


Rahun Qayim Maiñ Touba Par, Khudaya Fazl Aisa Kar

Gunahoñ Se De Nafrat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Khuda Aisi Inayat Kar Main Kaañpuñ Khauf Se Thar Thar

Ho Isyañ Se Hifazat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Ibadat Me, Riyazat Me, Duroodoñ Me, Tilawat Me

Ilahi De de Lazzat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Muhammad Mustafa ﷺ Ka Wasta, Tu Bakhsh De Mola

Ata Kar Bagh-e-Jannat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Khuda Attar Ki Bakhshish Tu Farma De Bila Purshish

Tufaile Aala Hazrat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai.


Khuda Ki Hai Inayat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai

Hui Mola Ki Rahmat Mah-e-Ramzañ Aane Wala Hai


Recited by: Junaid Sheikh Attari

Marhaba Marhaba Mah-e-Ramzan Naat with Lyrics - Ramadan Special Naat - Jalabeeb Qadri

Marhaba Marhaba Mah-e-Ramzan Naat with Lyrics - Ramadan Special Naat - Jalabeeb Qadri

Marhaba Marhaba Mah-e-Ramzan Naat with Lyrics - Ramadan Special Naat - Jalabeeb Qadri

"Marhaba Marhaba Mah-e-Ramzan" is a naat that celebrates the arrival of Ramadan, the holy month of fasting, reflection, and prayer in Islam. This naat, performed by Jalabeeb Qadri, is a Ramadan special that encapsulates the joy, spiritual depth, and reverence associated with this sacred month.



Marhaba Marhaba Mah-e-Ramzan

Marhaba Marhaba Mah-e-Ramzan


Ramzan Ramzan Ramzan Ramzan


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Ik Dhoom Si Jahan Me Jaise Machi Hui Hai

Har Qalb Me Khuda Ki Ulfat Rachi Hui Hai

Aabad Hai Tere Dam Se Masjidoñ Ki Rounaq

Dharti Gunah Se Ab Jaise Bachi Hui Hai

Paakar Tujhe Ye Goshe Dil Ke Mahak Uthe Hain

Ramzan Teri Aamad Se Sab Chahak Uthe Hain


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Ahlan Wa Sahlan Mahe Ramzan

Ahlan Wa Sahlan Mahe Ramzan


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Aao Sabhi Adawat Ka Ikhtitaam Kar Den

Paigham Ham Mohabbat Ka Aao Aam Kar Den

Ikhlas Aur Mehnat Se Khoob Kaam Kar Den

Ham Deeñ Ka Yuñ Jag Me Uncha Maqam Kar Den

Ramzan Ki Ibadat Se Sab Chamak Uthe Hain

Ramzan Teri Aamad Se Sab Chahak Uthe Hain


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Marhaba Ramzan

Marhaba Ramzan

Marhaba Ramzan

Marhaba Ramzan



Ghaflat Ki Neend Se Ye Sab Ko Jagane Aaya

Raah-e-Nijaat Sabko He Yeh Dikhane Aaya

Qur’aan Ki Tilawat Se Qalb Hai Munawwar

Bande Ka Rab Se Rishta Mazboot Karne Aaya

Ramzan Ki Ata Se Chehre Damak Uthe Hain

Ramzan Teri Aamad Se Sab Chahak Uthe Hain


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Ab Aasmañ Se Dharti Tak Roushni Hai Faili

Aamad Pe Har Musalmañ Dekho Ke Shadmañ Hai

Chahat Ke Deep Ab To Har Ja Dahak Uthe Hain

Ramzan Teri Aamad Se Sab Chahak Uthe Hain


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Marhaba Ramzan

Marhaba Ramzañ


Ramzan Me Ae Mola Tu Apne Ghar Bulana

Soya Hua Muqaddar Mera Bhi Ab Jagana

Baichaini Dil Ki Mujhko Har Pal Sata Rahi Hai

Mola Sahar Ko Aaqa Ka Dar Bhi Tu Dikhana

Ramzan Teri Barkat Se Sab Chamak Uthe Hain

Ramzan Teri Aamad Se Sab Chahak Uthe Hain


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba

Ramzan Ramzan Ramzan Marhaba


Ahlan Wa Sahlan Mah e Ramzañ

Ahlan Wa Sahlan Mah e Ramzañ


Recited by: Jalabeeb Qadri

Lyrics: Sughra Yameen Sehar

Post your Comments

#Islamic Calendar 2025 Events

Islamic 2025 Event Name English Date Islamic Date
Urs Haji Malang January 2, 2025 - Thursday 10 Jumada al-Akhirah 1446
Urs Haji Ali Baba Mumbai January 4, 2025 - Saturday 12 Jumada al-Akhirah 1446
721st Urs Sharif Of Hazrat Khwaja Syed Nizamuddin Aulia Mehboob-e-Elahi Rahmatullah Alayh January 7, 2025 - Tuesday 15 Jumada al-Akhirah 1446
Urs Khwaja Gharib Nawaz, Ajmer Sharif March 24, 2025 - Monday 22 Sha'ban 1446
Lailat al-Miraj (Shab-e-Meraj) January 27, 2025 - Monday 27 Rajab 1446
Shab-e-Barat February 14, 2025 - Friday 15 Sha'ban 1446
Start of Fasting Month (Ramadan) March 1, 2025 - Saturday 1 Ramadan 1446
Lailat al-Qadr (Shab-e-Qadr) March 27, 2025 - Thursday 27 Ramadan 1446
Jummat-ul-Wida March 28, 2025 - Friday 28 Ramadan 1446
Eid-ul-Fitr March 30, 2025 - Sunday 1 Shawwal 1446
#Hajj June 6, 2025 - Friday 9 Dhul-Hijjah 1446
Eid-ul-Adha (Bakrid) June 7, 2025 - Saturday 10 Dhul-Hijjah 1446
Islamic New Year July 28, 2025 - Monday 1 Muharram 1447
Yaum al-Ashura August 6, 2025 - Wednesday 10 Muharram 1447
Eid Milad-un-Nabi September 26, 2025 - Friday 12 Rabi-al-Awwal 1447