Auqat e Namaz - Forbidden Time for Namaz

Share:
Kin Baara Waqto Mein Nafil Padhna Mana Hai. Namaz kab nahi parhi ja sakti hai

12 waqto mein nawafil padhna mana hai.


Auqat e Namaz - Forbidden Time for Namaz

1) Subah saadeq se suraj nikalne tak koi nafil jayez nahi siwaaye fajar ki 2 rakaat sunnat k.

2) Apne mazhab ki jamaat k liye aqamat huyi to aqamat se khatam jamaat tak nafil o sunnat padhna makrooh e tehreemi hai.

- Albatta agar nama e fajar qaayem ho chuki aur jaanta hai k sunnat padhega jab bhi jamaat mil jaayegi agarche qaaede mein shirkat hogi to hukum hai k jamaat se dur alag fajar ki sunnat padh kar jamaat mein shareek hojaaye aur agar ye jaanta hai k sunnat padhunga to jamaat na milegi aur sunnat k khayaal se jamaat chodi to ye na jayez aur gunaah hai aur fajar k siwa baaqi namazo mein agarche ye jaane ki sunnat padhke jamaat mil jaayegi sunnat padhna jayez nahi jab k jamaat k liye aqaamat huyi.

3) Namaz e asar padhne k baad se aftaab zard hone tak nafil padhna mana hai.

4) Suraj doobne se lekar maghrib ki farz padhne tak nafil jayez nahi.

5) Jis waqt imam apni jaga se jumua k khutbe k liye khada hua us waqt se lekar farz jumua khatam hone tak nafil mana hai.

6) Ayen khutbe k waqt agarche pehla ho ya dusra aur jumua ka ho ya eidaen ka khutba ho ya kasoof o istesqaad e hajj o nikah ka ho, har namaz hata k qaza bhi jayez nahi magar sahib tarteeb k liye jumua k khutbe k waqt qaza ki ijazat hai.

MASALA:
🍂 Jumua ki sunnate shuru kardi thi k imam khutbe k liye apni jaga se utha to chaaro rakaate pura karle.

7) Eidaen ki namaz k pehle nafil makrooh hai chahe ghar mein padhe ya eidgaah mein ya masjid mein.

8) Eidaen ki namaz k baad nafil makrooh hai jab k eidgaah ya masjid mein padhe ghar per padhna makrooh nahi.

9) Arfaat mein jo ZOHAR o ASAR milakar padhte hain unke beech me aur baad me bhi nafil o sunnat makrooh hai.

10) Muzdalfa mein jo maghrib o isha jama kiye jaate hain, faqat unke beech mein nafil o sunnat padhna makrooh hai, baad mein makrooh nahi.

11) Farz ka waqt tang ho to har namaz yahaan tak k sunnat fajar o Zohar makrooh hai.

12) Jis baat se dil bate aur usko dur kar sakta ho to usey bila dur kiya har namaz makrooh hai jaese peshaab ya pakhana ya riyaah ka ghalba ho to aesi haalat mein namaz makrooh hai, albatta agar waqt jaata ho to padhle aur aesi namaz phir dohraaye.

* Yunhi khaana saamne aagaya aur uski khwahish ho ya aur koi aesi baat ho jisse dil ko itmenaan na ho aur khushu mein faraq aaye to aesi surat mein namaz padhna makrooh hai.

MASALA:

+ Fajar aur Zohar k pure waqt awwal se aakhir tak bila karahat hain yaani ye namaze apne waqt k jis hisse mein padhi jaaye bilkul makrooh nahi.

📚 REFERENCE:
📔 QANOON E SHARIAT

No comments